SEARCH RESULTS
Showing search results for "hiraasaa.n"
Sher MATCHES FOR "hiraasaa.n"
Sher
kyaa karuu.n ai dil-e-maayuus zaraa ye to bataa
kyaa kiyaa karte hai.n sadmo.n se hiraasaa.n ho kar
Natiq Gulavthi
Sher
Khaqan Khavar
Sher
tiira-o-taar KHalaa.o.n me.n bhaTaktaa rahaa zehan
raat sahraa-e-anaa se mai.n hiraasaa.n guzraa
Arif Abdul Mateen
Sher
Gairo.n se kahaa tum ne Gairo.n se sunaa tum ne
kuchh ham se kahaa hotaa kuchh ham se sunaa hotaa
Chiragh Hasan Hasrat
Sher
Hasan Naim
Sher
kyaa kahuu.n us se ki jo baat samajhtaa hii nahii.n
vo to milne ko mulaaqaat samajhtaa hii nahii.n
Fatima Hasan
Sher
Farhat Ehsas
Sher
kyaa ko.ii na.ii baat nazar aatii hai ham me.n
aa.iina hame.n dekh ke hairaan saa kyuu.n hai
Shahryar
Sher
dostii kis se na thii kis se mujhe pyaar na thaa
jab bure vaqt pe dekhaa to ko.ii yaar na thaa
Meer Hasan
Sher
ek suuraj thaa ki taaro.n ke gharaane se uThaa
aa.nkh hairaan hai kyaa shaKHs zamaane se uThaa
Parveen Shakir
Sher
aasaa.n na samajhiyo tum naKHvat se paak honaa
ik umr kho ke ham ne siikhaa hai KHaak honaa
Meer Hasan
Sher
ik ishq kaa Gam aafat aur us pe ye dil aafat
yaa Gam na diyaa hotaa yaa dil na diyaa hotaa
Chiragh Hasan Hasrat
Sher
sukuun-e-dil ke liye ishq to bahaana thaa
vagarna thak ke kahii.n to Thahar hii jaanaa thaa
Fatima Hasan
Sher
KHvaabo.n par iKHtiyaar na yaado.n pe zor hai
kab zindagii guzaarii hai apne hisaab me.n
Fatima Hasan
Sher
us ajnabii se haath milaane ke vaaste
mahfil me.n sab se haath milaanaa pa.Daa mujhe
Hasan Abbasi
Sher
Muneer Niyazi
Sher
sau baar jis ko dekh ke hairaan ho chuke
jii chaahtaa hai phir use ik baar dekhnaa