SEARCH RESULTS
Showing search results for "humaa"
Sher MATCHES FOR "humaa"
Sher
ham ko ma.aluum hai jannat kii haqiiqat lekin
dil ke KHush rakhne ko 'Gaalib' ye KHayaal achchhaa hai
Mirza Ghalib
Sher
ham aah bhii karte hai.n to ho jaate hai.n badnaam
vo qatl bhii karte hai.n to charchaa nahii.n hotaa
Akbar Allahabadi
Sher
Ahmad Faraz
Sher
Gairat-zada to Duub gayaa ek buu.nd me.n
be-Gairato.n ko ko.ii samundar nahii.n milaa
Mahender Huma
Sher
sariir-e-saltanat se aastaan-e-yaar behtar thaa
hame.n zill-e-humaa se saaya-e-diivaar behtar thaa
Inamullah Khan Yaqeen
Sher
Miraash
Sher
hu.aa hai tujh se bichha.Dne ke baa'd ye maa'luum
ki tuu nahii.n thaa tire saath ek duniyaa thii
Ahmad Faraz
Sher
kis kis ko bataa.e.nge judaa.ii kaa sabab ham
tuu mujh se KHafaa hai to zamaane ke liye aa
Ahmad Faraz
Sher
ham ko miTaa sake ye zamaane me.n dam nahii.n
ham se zamaana KHud hai zamaane se ham nahii.n
Jigar Moradabadi
Sher
Qateel Shifai
Sher
ham to samjhe the ki ham bhuul ga.e hai.n un ko
kyaa hu.aa aaj ye kis baat pe ronaa aayaa
Sahir Ludhianvi
Sher
rago.n me.n dau.Dte phirne ke ham nahii.n qaa.il
jab aa.nkh hii se na Tapkaa to phir lahuu kyaa hai
Mirza Ghalib
Sher
ik raat vo gayaa thaa jahaa.n baat rok ke
ab tak rukaa hu.aa huu.n vahii.n raat rok ke
Farhat Ehsas
Sher
us ko judaa hu.e bhii zamaana bahut hu.aa
ab kyaa kahe.n ye qissa puraanaa bahut hu.aa