SEARCH RESULTS
Showing search results for "hurmat-e-zamii.n"
Sher MATCHES FOR "hurmat-e-zamii.n"
Sher
zaahid sambhal Guruur KHudaa ko nahii.n pasand
farsh-e-zamii.n pe paa.nv dimaaG aasmaan par
Parveen Umm-e-Mushtaq
Sher
pii baada-e-ahmar to ye kahne lagaa gul-ruu
mai.n surKH huu.n tum surKH zamii.n surKH zamaa.n surKH
Parveen Umm-e-Mushtaq
Sher
ajiib log the KHaamosh rah ke jiite the
dilo.n me.n hurmat-e-sa.ng-e-sadaa ke hote hu.e
Zubair Rizvi
Sher
makaan-e-zar lab-e-goyaa had-e-sipehr-o-zamii.n
dikhaa.ii detaa hai sab kuchh yahaa.n KHudaa ke sivaa
Muneer Niyazi
Sher
jis taraf ko mai.n gayaa rotaa hu.aa
taa-falak ruu-e-zamii.n dariyaa hu.aa
Shaikh Zahuruddin Hatim
Sher
ai zamii.n-zaad tirii rif.ate.n chhuune ke liye
tujh talak mai.n ka.ii aflaak badal kar aaya
Jamal Ehsani
Sher
aa jaa.e ko.ii ranj miTaane ko kahii.n se
aflaak se utre yaa nikal aa.e zamii.n se
Ahmad Waqas Mahrwi
Sher
aaKHir ik roz to paivand-e-zamii.n honaa hai
jaama-e-ziist nayaa aur puraanaa kaisaa
Lala Madhav Ram Jauhar
Sher
bojh uThaate hu.e phirtii hai hamaaraa ab tak
ai zamii.n maa.n tirii ye umr to aaraam kii thii
Parveen Shakir
Sher
pastii ne bulandii ko banaayaa hai haqiiqat
ye rif.at-e-aflaak bhii muhtaaj-e-zamii.n hai
Saba Akbarabadi
Sher
pesh-e-zamii.n rahuu.n ki pas-e-aasmaa.n rahuu.n
rahtaa huu.n apne saath mai.n chaahe jahaa.n rahuu.n
Meer Ahmad Naved
Sher
roz puujaa ke liye phuul sajaataa hai 'salaam'
jaane kab us kaa KHudaa suu-e-zamii.n aa.egaa