SEARCH RESULTS
Showing search results for "ibrat"
Sher MATCHES FOR "ibrat"
Sher
Ibrat Machlishahri
Sher
kyuu.n pashemaa.n ho agar va.ada vafaa ho na sakaa
kahii.n va.ade bhii nibhaane ke liye hote hai.n
Ibrat Machlishahri
Sher
sirf itne ke liye aa.nkhe.n hame.n baKHshii ga.ii.n
dekhiye duniyaa ke manzar aur ba-ibrat dekhiye
Josh Malihabadi
Sher
zindagii kam pa.Dhe pardesii kaa KHat hai 'ibrat'
ye kisii tarah pa.Dhaa jaa.e na samjhaa jaa.e
Ibrat Machlishahri
Sher
KHud-kushii jurm bhii hai sabr kii tauhiin bhii hai
is liye ishq me.n mar mar ke jiyaa jaataa hai
Ibrat Siddiqui
Sher
apnii Gurbat kii kahaanii ham sunaa.e.n kis tarah
raat phir bachcha hamaaraa rote rote so gayaa
Ibrat Machlishahri
Sher
sunaa hai Duub ga.ii be-hisii ke dariyaa me.n
vo qaum jis ko jahaa.n kaa amiir honaa thaa
Ibrat Machlishahri
Sher
zamii.n ke jism ko Tuk.Do.n me.n baa.nTne vaalo
kabhii ye Gaur karo kaa.enaat kis kii hai
Ibrat Machlishahri
Sher
manzil-e-ibrat hai duniyaa ahl-e-duniyaa shaad hai.n
aisii dil-jam.ii se hotii hai pareshaanii mujhe
Chakbast Braj Narayan
Sher
vo yuu.n subuut-e-uruuj-o-zavaal detaa thaa
uThaa ke haath me.n patthar uchhaal detaa thaa
Ibrat Machlishahri
Sher
aa.nkho.n me.n u.D rahii hai luTii mahfilo.n kii dhuul
ibrat-saraa-e-dahr hai aur ham hai.n dosto
Muneer Niyazi
Sher
kyaa kahuu.n tujh se mohabbat vo balaa hai hamdam
mujh ko ibrat na hu.ii Gair ke mar jaane se
Mirza Hadi Ruswa
Sher
taaki ibrat kare.n aur Gair na dekhe.n tujh ko
jii me.n aataa hai nikalvaa.iye do-chaar kii aa.nkh
Meer Hasan
Sher
Muhammad Ayyub Zauqi
Sher
is imaarat par na kar mun.im Guruur
ham se ibrat le ki viiraane hai.n ham
Mushafi Ghulam Hamdani
Sher
Mahfuzur Rahman Adil
Sher
Wahshat Raza Ali Kalkatvi
Sher
'naasirii' qabr pe ibrat ke liye likhvaa do
tuul khii.nchaa hai yahaa.n tak shab-e-tanhaa.ii ne
Nasiri Lakhnavi
Sher
ab mujrimaan-e-ishq se baaqii huu.n ek mai.n
ai maut rahne de mujhe ibrat ke vaaste