SEARCH RESULTS
Showing search results for "ilaaqa"
Sher MATCHES FOR "ilaaqa"
Sher
Jurat Qalandar Bakhsh
Sher
Allama Iqbal
Sher
sunaa hai amn-parasto.n kaa vo ilaaqa hai
vahii.n shikaar kabuutar hu.aa to kaise hu.aa
Faragh Rohvi
Sher
maanaa ki terii diid ke qaabil nahii.n huu.n mai.n
tuu meraa shauq dekh miraa intizaar dekh
Allama Iqbal
Sher
duniyaa jo na mai.n chand nafas ke liye letaa
jannat kaa ilaaqa mirii jaagiir me.n aataa
Agha Hajju Sharaf
Sher
ye tere mere charaaGo.n kii zid jahaa.n se chalii
vahii.n kahii.n se ilaaqa havaa kaa lagtaa hai
Iftikhar Arif
Sher
ye Gam miraa hai to phir Gair se ilaaqa kyaa
mujhe hii apnii tamannaa kaa baar Dhone de
Kabir Ajmal
Sher
har ek saaz ko saazindagaa.n nahii.n darkaar
badan ko zarbat-e-mizraab se ilaaqa nahii.n
Ziaul Mustafa Turk
Sher
tauba karne pe bhii itnaa hai ilaaqa baaqii
duur se dekh liyaa karte hai.n mai-KHaane ko
Jaleel Manikpuri
Sher
kisii safar kisii asbaab se ilaaqa nahii.n
tumhaare baad kisii KHvaab se ilaaqa nahii.n
Ziaul Mustafa Turk
Sher
be-Gamii tark-e-alaa.iq hai sadaa 'azfariyaa'
jis ko duniyaa se ilaaqa nahii.n Gamnaak nahii.n
Mirza Azfari
Sher
duniyaa kii mahfilo.n se uktaa gayaa huu.n yaa rab
kyaa lutf anjuman kaa jab dil hii bujh gayaa ho
Allama Iqbal
Sher
nasha pilaa ke giraanaa to sab ko aataa hai
mazaa to tab hai ki girto.n ko thaam le saaqii