SEARCH RESULTS
Showing search results for "ilzaam"
Sher MATCHES FOR "ilzaam"
Sher
tum mere liye ab ko.ii ilzaam na Dhuu.nDo
chaahaa thaa tumhe.n ik yahii ilzaam bahut hai
Sahir Ludhianvi
Sher
dil pe aa.e hu.e ilzaam se pahchaante hai.n
log ab mujh ko tire naam se pahchaante hai.n
Qateel Shifai
Sher
vaise to tumhii.n ne mujhe barbaad kiyaa hai
ilzaam kisii aur ke sar jaa.e to achchhaa
Sahir Ludhianvi
Sher
Habib Jalib
Sher
ho.nTo.n pe kabhii un ke miraa naam hii aa.e
aa.e to sahii bar-sar-e-ilzaam hii aa.e
Ada Jafarey
Sher
saaqii mujhe sharaab kii tohmat nahii.n pasand
mujh ko tirii nigaah kaa ilzaam chaahiye
Abdul Hamid Adam
Sher
mai.n boltaa huu.n to ilzaam hai baGaavat kaa
mai.n chup rahuu.n to ba.Dii bebasii sii hotii hai
Bashir Badr
Sher
mat puuchh ki ham zabt kii kis raah se guzre
ye dekh ki tujh par ko.ii ilzaam na aayaa
Mustafa Zaidi
Sher
mai.n kis tarah tujhe ilzaam-e-bevafaa.ii duu.n
rah-e-vafaa me.n tire naqsh-e-paa bhii milte hai.n
Unwan Chishti
Sher
buto.n ko puujne vaalo.n ko kyuu.n ilzaam dete ho
Daro us se ki jis ne un ko is qaabil banaayaa hai
Makhmoor Saeedi
Sher
chho.Dnaa hai to na ilzaam lagaa kar chho.Do
kahii.n mil jaa.o to phir lutf-e-mulaaqaat rahe
Lala Madhav Ram Jauhar
Sher
kuchh roz se ham shahr me.n rusvaa na hu.e hai.n
aa phir ko.ii ilzaam lagaane ke liye aa
Kaleem Aajiz
Sher
abas ilzaam mat do mushkilaat-e-raah ko 'raahii'
tumhaare hii iraade me.n kamii ma.aluum hotii hai
Divakar Rahi
Sher
Saqib Lakhnavi
Sher
ek muddat kii rifaaqat kaa ho kuchh to in.aam
jaate jaate ko.ii ilzaam lagaate jaa.o
Mohsin Bhopali
Sher
sham.a par KHuun kaa ilzaam ho saabit kyuu.n-kar
phuu.nk dii laash bhii kambaKHt ne parvaane kii
Jaleel Manikpuri
Sher
yaar par ilzaam kaisaa ai dil-e-KHaana-KHaraab
jo kiyaa tujh se tirii qismat ne us ne kyaa kiyaa