SEARCH RESULTS
Showing search results for "inhisaar"
Sher MATCHES FOR "inhisaar"
Sher
hai kaamyaabii-e-mardaa.n me.n haath aurat kaa
magar tuu ek hii aurat pe inhisaar na kar
Aziz Faisal
Sher
tumhaare saath mire muKHtalif maraasim hai.n
mirii vafaa pe kabhii inhisaar mat karnaa
Asim Wasti
Sher
itnaa bhii inhisaar mire saa.e par na kar
kyaa jaane kab ye mom kii diivaar gir pa.De
Azhar Adeeb
Sher
ye chal-chalaav mai.n ne diyaa hai use 'muniir'
duniyaa pe inhisaar nahii.n kar rahaa huu.n mai.n
Muneer Jafri
Sher
ye chal-chalaav mai.n ne diyaa hai use 'muniir'
duniyaa pe inhisaar nahii.n kar rahaa huu.n mai.n
Muneer Jafri
Sher
maanaa ki terii diid ke qaabil nahii.n huu.n mai.n
tuu meraa shauq dekh miraa intizaar dekh
Allama Iqbal
Sher
ye na thii hamaarii qismat ki visaal-e-yaar hotaa
agar aur jiite rahte yahii intizaar hotaa
Mirza Ghalib
Sher
umr-e-daraaz maa.ng ke laa.ii thii chaar din
do aarzuu me.n kaT ga.e do intizaar me.n
Seemab Akbarabadi
Sher
Muneer Niyazi
Sher
na ko.ii va.ada na ko.ii yaqii.n na ko.ii umiid
magar hame.n to tiraa intizaar karnaa thaa
Firaq Gorakhpuri
Sher
kabhii to chau.nk ke dekhe ko.ii hamaarii taraf
kisii kii aa.nkh me.n ham ko bhii intizaar dikhe
Gulzar
Sher
vo na aa.egaa hame.n ma.aluum thaa is shaam bhii
intizaar us kaa magar kuchh soch kar karte rahe