SEARCH RESULTS
Showing search results for "inkisaar"
Sher MATCHES FOR "inkisaar"
Sher
maanaa ki terii diid ke qaabil nahii.n huu.n mai.n
tuu meraa shauq dekh miraa intizaar dekh
Allama Iqbal
Sher
Guruur-e-ishq me.n ik inkisaar-e-faqr bhii hai
KHamiida-sar hai.n vafaa ko alam banaate hu.e
Jaleel 'Aali'
Sher
vo nigaah-e-sharmagii.n ho yaa kisii kaa inkisaar
jhuk ke jo mujh se milaa vo ek KHanjar ho gayaa
Munshi Naubat Rai Nazar Lakhnavi
Sher
mirii talab me.n takalluf bhii inkisaar bhii thaa
vo nukta-sanj thaa sab mere hasb-e-haal diyaa
Sarshar Siddiqui
Sher
Anwar Shuoor
Sher
ye na thii hamaarii qismat ki visaal-e-yaar hotaa
agar aur jiite rahte yahii intizaar hotaa
Mirza Ghalib
Sher
Hasrat Mohani
Sher
umr-e-daraaz maa.ng ke laa.ii thii chaar din
do aarzuu me.n kaT ga.e do intizaar me.n
Seemab Akbarabadi
Sher
Muneer Niyazi
Sher
na ko.ii va.ada na ko.ii yaqii.n na ko.ii umiid
magar hame.n to tiraa intizaar karnaa thaa
Firaq Gorakhpuri
Sher
kabhii to chau.nk ke dekhe ko.ii hamaarii taraf
kisii kii aa.nkh me.n ham ko bhii intizaar dikhe
Gulzar
Sher
mujhe KHabar thii miraa intizaar ghar me.n rahaa
ye haadsa thaa ki mai.n umr bhar safar me.n rahaa
Saqi Faruqi
Sher
vo na aa.egaa hame.n ma.aluum thaa is shaam bhii
intizaar us kaa magar kuchh soch kar karte rahe
Parveen Shakir
Sher
saahil ke sukuu.n se kise inkaar hai lekin
tuufaan se la.Dne me.n mazaa aur hii kuchh hai