SEARCH RESULTS
Showing search results for "ishtihaar"
Sher MATCHES FOR "ishtihaar"
Sher
ye shahar hai ki numaa.ish lagii hu.ii hai ko.ii
jo aadmii bhii milaa ban ke ishtihaar milaa
Nida Fazli
Sher
Bashir Badr
Sher
mire hii harf dikhaate the merii shakl mujhe
ye ishtihaar mire ruu-ba-ruu bhii honaa thaa
Iqbal Sajid
Sher
pahaa.D jaisii azmato.n kaa daaKHila thaa shahr me.n
ki log aagahii kaa ishtihaar le ke chal diye
Yaqoob Yawar
Sher
us ke chehre kii chamak ke saamne saada lagaa
aasmaa.n pe chaa.nd puuraa thaa magar aadhaa lagaa
Iftikhar Naseem
Sher
KHvaab kii tarah bikhar jaane ko jii chaahtaa hai
aisii tanhaa.ii ki mar jaane ko jii chaahtaa hai
Iftikhar Arif
Sher
dil paagal hai roz na.ii naadaanii kartaa hai
aag me.n aag milaataa hai phir paanii kartaa hai
Iftikhar Arif
Sher
du.aa ko haat uThaate hu.e laraztaa huu.n
kabhii du.aa nahii.n maa.ngii thii maa.n ke hote hu.e
Iftikhar Arif
Sher
Iftikhar Arif
Sher
mire KHudaa mujhe itnaa to mo'tabar kar de
mai.n jis makaan me.n rahtaa huu.n us ko ghar kar de
Iftikhar Arif
Sher
kisii sabab se agar boltaa nahii.n huu.n mai.n
to yuu.n nahii.n ki tujhe sochtaa nahii.n huu.n mai.n
Iftikhar Mughal
Sher
Iftikhar Arif
Sher
du.aa.e.n yaad karaa dii ga.ii thii.n bachpan me.n
so zaKHm khaate rahe aur du.aa diye ga.e ham
Iftikhar Arif
Sher
miTTii kii mohabbat me.n ham aashufta-saro.n ne
vo qarz utaare hai.n ki vaajib bhii nahii.n the
Iftikhar Arif
Sher
ek charaaG aur ek kitaab aur ek ummiid asaasa
us ke baa'd to jo kuchh hai vo sab afsaana hai
Iftikhar Arif
Sher
mujhe pasand nahii.n aise kaarobaar me.n huu.n
ye jabr hai ki mai.n KHud apne iKHtiyaar me.n huu.n