SEARCH RESULTS
Showing search results for "itaab"
Sher MATCHES FOR "itaab"
Sher
talaaq de to rahe ho itaab-o-qahr ke saath
miraa shabaab bhii lauTaa do merii mahr ke saath
Sajid Sajni Lakhnawi
Sher
Gusse me.n barhamii me.n Gazab me.n itaab me.n
KHud aa ga.e hai.n vo mire KHat ke javaab me.n
Divakar Rahi
Sher
nahii.n itaab-e-zamaana KHitaab ke qaabil
tiraa javaab yahii hai ki muskuraa.e jaa
Hafeez Jalandhari
Sher
isii KHataa se itaab-e-muluuk hai mujh par
ki jaantaa huu.n ma.aal-e-sikandarii kyaa hai
Allama Iqbal
Sher
us ne gaalii mujhe dii ho ke itaab-aaluuda
aur mai.n saada use lutf-e-zabaanii samjhaa
Mushafi Ghulam Hamdani
Sher
Mirza Ghalib
Sher
Kunwar Mahendra Singh Bedi Sahar
Sher
ko.ii bhii rut ho milii hai dukho.n kii fasl hame.n
jo mausam aayaa hai us ke itaab dekhe hai.n
Haneef Kaifi
Sher
uThuu.n dahshat se taa mahfil se us kii
itaab us kaa hai har ik ham-nashii.n par
Hasrat Azimabadi
Sher
aa.nkh se duur na ho dil se utar jaa.egaa
vaqt kaa kyaa hai guzartaa hai guzar jaa.egaa
Ahmad Faraz
Sher
karuu.ngaa kyaa jo mohabbat me.n ho gayaa naakaam
mujhe to aur ko.ii kaam bhii nahii.n aataa
Ghulam Mohammad Qasir
Sher
jo kahaa mai.n ne ki pyaar aataa hai mujh ko tum par
ha.ns ke kahne lagaa aur aap ko aataa kyaa hai