SEARCH RESULTS
Showing search results for "jaa-namaaz"
Sher MATCHES FOR "jaa-namaaz"
Sher
hame.n to is liye jaa-e-namaaz chaahiye hai
ki ham vajuud se baahar qayaam karte hai.n
Abbas Tabish
Sher
shabaab naam hai us jaa.n-navaaz lamhe kaa
jab aadmii ko ye mahsuus ho javaa.n huu.n mai.n
Akhtar Ansari
Sher
suno mai.n 'miir' kaa diivaan samajhtaa huu.n use
jo namaazii hai.n vo qur.aan samajhte ho.nge
Ameer Imam
Sher
sohbat-e-shaiKH me.n tuu raat ko jaayaa mat kar
vo sikhaa degaa tujhe jaan namaaz-e-ma.akuus
Taban Abdul Hai
Sher
ham apnii ruuh ko qaasid banaa ke bheje.nge
tiraa guzar jo vahaa.n naama-bar nahii.n na sahii
Mirza Asman Jah Anjum
Sher
namaaz-e-sub.h vo hii pa.Dh rahe the ka.abe me.n
janaab-e-'mehr' jo mandir me.n the pujaarii raat
Hatim Ali Mehr
Sher
jo ashk surKH hai naama-nigaar hai dil kaa
sukuut-e-shab me.n likhe jaa rahe hai.n afsaane
Siraj Lakhnavi
Sher
jab tirii KHaak me.n hijrat hai to is shahr se jaa
ab tiraa naan-o-namak naam-o-nishaa.n uThtaa hai
Moid Rasheedi
Sher
nazar-navaaz nazaara badal na jaa.e kahii.n
zaraa sii baat hai mu.nh se nikal na jaa.e kahii.n
Dushyant Kumar
Sher
namaaz apnii agarche kabhii qazaa na hu.ii
adaa kisii kii jo dekhii to phir adaa na hu.ii
Abdul Rahman Ehsan Dehlvi
Sher
nazar-navaaz nazaaro.n me.n jii nahii.n lagtaa
vo kyaa ga.e ki bahaaro.n me.n jii nahii.n lagtaa
Shakeel Badayuni
Sher
mizhgaa.n-zadan se kam hai zamaan-e-namaaz-e-ishq
ho jaave faut vaqt hii jab tak vazuu kare.n
Mushafi Ghulam Hamdani
Sher
dekhaa jo mai.n ne naama-e-aa'maal hashr me.n
qissa likhaa thaa mere aur un ke shabaab kaa
Mohammad Baqar Shams
Sher
namaaz shukr kii pa.Dhtaa hai jaam to.D ke shaiKH
vuzuu ke vaaste letaa hai aabruu-e-sharaab