SEARCH RESULTS
Showing search results for "jabiin-e-sub.h"
Sher MATCHES FOR "jabiin-e-sub.h"
Sher
pau phaTte hii 'riyaaz' jahaa.n KHuld ban gayaa
Gilmaan-e-mahr saath liye aa.ii huur-e-sub.h
Parveen Umm-e-Mushtaq
Sher
bad-qismato.n ko gar ho mayassar shab-e-visaal
suuraj Guruub hote hii zaahir ho nuur-e-sub.h
Parveen Umm-e-Mushtaq
Sher
Ibn۔e۔Insha
Sher
Aale Ahmad Suroor
Sher
Asad Ali Khan Qalaq
Sher
is jabiin-e-araq-afshaa.n pe na chuniye afshaa.n
ye sitaare kahii.n mil jaa.e.n na sayyaaro.n me.n
Bekhud Dehlvi
Sher
qulqul-e-miinaa sadaa naaquus kii shor-e-azaa.n
ThanDe ThanDe diidanii hai garmii-e-baazaar-e-sub.h
Riyaz Khairabadi
Sher
tuu jis ke KHvaab me.n aayaa ho vaqt-e-sub.h sanam
namaaz-e-sub.h ko kis tarah vo qazaa na kare
Mushafi Ghulam Hamdani
Sher
jabiin-e-sa.ng pe likkhaa miraa fasaana gayaa
mai.n rahguzar thaa mujhe rau.nd kar zamaana gayaa
Wazir Agha
Sher
merii jabiin-e-shauq ne sajde jahaa.n kiye
vo aastaa.n banaa jo kabhii aastaa.n na thaa
Figar Unnavi
Sher
ma.anii-e-raushan jo ho.n to sau se behtar ek sher
matla-e-KHurshiid kaafii hai pa.e-diivaan-e-sub.h
Pandit Daya Shankar Naseem Lakhnawi
Sher
Zahid Masood
Sher
sajde ta.Dap rahe hai.n jabiin-e-niyaaz me.n
sar hai.n kisii kii zulf kaa saudaa liye hu.e
Ada Jafarey
Sher
hamaare Duubne ke baad ubhre.nge na.e taare
jabiin-e-dahr par chhaTkegii afshaa.n ham nahii.n ho.nge
Abdul Majeed Salik
Sher
us aastaa.n pe sajda kaa bhii kuchh rahaa na hosh
allaah-re iztiraab jabiin-e-niyaaz kaa
Mirza Ehsan Beg
Sher
jabiin-e-paarsaa ko dekh kar iimaa.n laraztaa hai
ma.aaz-allaah ki kyaa anjaam hai is paarsaa.ii kaa
Qalaq Merathi
Sher
sarf-e-sujuud kar ke jabiin-e-nazar ko mai.n
me.araaj de rahaa huu.n tire sa.ng-e-dar ko mai.n