SEARCH RESULTS
Showing search results for "jahaaz"
Sher MATCHES FOR "jahaaz"
Sher
vo vaqt kaa jahaaz thaa kartaa lihaaz kyaa
mai.n dosto.n se haath milaane me.n rah gayaa
Hafeez Merathi
Sher
un aa.nkho.n me.n Daal kar jab aa.nkhe.n us raat
mai.n Duubaa to mil ga.e Duube hu.e jahaaz
Ameeq Hanafi
Sher
kisii maqaam se ko.ii KHabar na aane kii
ko.ii jahaaz zamii.n par na ab utarne kaa
Rajinder Manchanda Bani
Sher
ham ne bhii aasmaano.n kii sair KHuub kii hai
kandhe nahii.n pitaa ke hote jahaaz se kam
Hari Kumar
Sher
gar zamaane kii adaavat hai yahii mujh se to mai.n
abhii ro ro ke jahaaz us kaa Dubo detaa huu.n
Mushafi Ghulam Hamdani
Sher
Mushafi Ghulam Hamdani
Sher
dono.n jahaan terii mohabbat me.n haar ke
vo jaa rahaa hai ko.ii shab-e-Gam guzaar ke
Faiz Ahmad Faiz
Sher
jahaa.n rahegaa vahii.n raushnii luTaa.egaa
kisii charaaG kaa apnaa makaa.n nahii.n hotaa
Waseem Barelvi
Sher
Bashir Badr
Sher
kabhii kisii ko mukammal jahaa.n nahii.n miltaa
kahii.n zamiin kahii.n aasmaa.n nahii.n miltaa
Nida Fazli
Sher
ik raat vo gayaa thaa jahaa.n baat rok ke
ab tak rukaa hu.aa huu.n vahii.n raat rok ke
Farhat Ehsas
Sher
Gam aur KHushii me.n farq na mahsuus ho jahaa.n
mai.n dil ko us maqaam pe laataa chalaa gayaa
Sahir Ludhianvi
Sher
ta.ng aa chuke hai.n kashmakash-e-zindagii se ham
Thukraa na de.n jahaa.n ko kahii.n be-dilii se ham
Sahir Ludhianvi
Sher
terii suurat se kisii kii nahii.n miltii suurat
ham jahaa.n me.n tirii tasviir liye phirte hai.n