SEARCH RESULTS
Showing search results for "jantii"
Sher MATCHES FOR "jantii"
Sher
kuchh din se zindagii mujhe pahchaantii nahii.n
yuu.n dekhtii hai jaise mujhe jaantii nahii.n
Anjum Rehbar
Sher
kaun taaqo.n pe rahaa kaun sar-e-raahguzar
shahr ke saare charaaGo.n ko havaa jaantii hai
Ahmad Faraz
Sher
aa.ndhiyaa.n zor dikhaa.e.n bhii to kyaa hotaa hai
gul khilaane kaa hunar baad-e-sabaa jaantii hai
Manzar Bhopali
Sher
dil ko ma.aluum hai kyaa baat bataanii hai use
us se kyaa baat chhupaanii hai zabaa.n jaantii hai
Arshad Abdul Hamid
Sher
ab qafas aur gulistaa.n me.n ko.ii farq nahii.n
ham ko KHushbuu kii talab hai ye sabaa jaantii hai
Abid Wadood
Sher
nazar to apne manaazir ke ramz jaantii hai
ki aa.nkh kah nahii.n saktii sunii-sunaa.ii hu.ii
Saud Usmani
Sher
vo kah rahaa thaa buraa.ii buraa.ii jantii hai
so us ke vaaste le kar ka.nval gayaa huu.n mai.n
Syed Zamin Abbas Kazmi
Sher
Ahmad Jahangir
Sher
har mauj-e-tund jaantii hai naa-KHudaa.iyaa.n
tuufaa.n to mere saath hai gar naaKHudaa nahii.n
Shahryar Pardaz
Sher
un ke dekhe se jo aa jaatii hai mu.nh par raunaq
vo samajhte hai.n ki biimaar kaa haal achchhaa hai
Mirza Ghalib
Sher
har dha.Dakte patthar ko log dil samajhte hai.n
umre.n biit jaatii hai.n dil ko dil banaane me.n