SEARCH RESULTS
Showing search results for "jast"
Sher MATCHES FOR "jast"
Sher
thii hausle kii baat zamaane me.n zindagii
qadmo.n kaa faasla bhii yahaa.n ek jast thaa
Ibrahim Ashk
Sher
qismat me.n gar hamaarii ye mai hai to saaqiyaa
be-iKHtiyaar aap se shiisha karegaa jast
Nazeer Akbarabadi
Sher
jast bhartaa hu.aa fardaa ke dahaane kii taraf
jaa nikaltaa huu.n kisii guzre zamaane kii taraf
Anjum Saleemi
Sher
farishte dekh rahe hai.n zamiin o charKH kaa rabt
ye faasla bhii to insaa.n kii ek jast lage
Bekal Utsahi
Sher
vo be-KHabar hai mirii jast-o-KHez se shaayad
ye kaun hai jo muqaabil mire kha.Daa hu.aa hai
Abul Hasanat Haqqi
Sher
ik jast me.n to ko.ii na pahu.nchaa kamaal tak
ik umr sar khapaa ke hii jo kuchh milaa milaa
Saeed-ul-Zafar Chughtai
Sher
apne andar jo bharii jast to hairaanii hu.ii
is ku.e.n me.n sabhii kuchh mere 'alaava niklaa
Mehar Ali
Sher
ishq se tabii.at ne ziist kaa mazaa paayaa
dard kii davaa paa.ii dard-e-be-davaa paayaa
Mirza Ghalib
Sher
na apne zabt ko rusvaa karo sataa ke mujhe
KHudaa ke vaaste dekho na muskuraa ke mujhe
Bismil Azimabadi
Sher
pahle sharaab ziist thii ab ziist hai sharaab
ko.ii pilaa rahaa hai piye jaa rahaa huu.n mai.n
Jigar Moradabadi
Sher
kamaal-e-zabt ko KHud bhii to aazmaa.uu.ngii
mai.n apne haath se us kii dulhan sajaa.uu.ngii
Parveen Shakir
Sher
Ahmad Kamal Parwazi
Sher
Nasir Shahzad
Sher
zabt kartaa huu.n to ghuTtaa hai qafas me.n miraa dam
aah kartaa huu.n to sayyaad KHafaa hotaa hai