SEARCH RESULTS
Showing search results for "jitte"
Sher MATCHES FOR "jitte"
Sher
Mirza Ghalib
Sher
ye na thii hamaarii qismat ki visaal-e-yaar hotaa
agar aur jiite rahte yahii intizaar hotaa
Mirza Ghalib
Sher
shaam tak sub.h kii nazro.n se utar jaate hai.n
itne samjhauto.n pe jiite hai.n ki mar jaate hai.n
Waseem Barelvi
Sher
Amjad Islam Amjad
Sher
ham aah bhii karte hai.n to ho jaate hai.n badnaam
vo qatl bhii karte hai.n to charchaa nahii.n hotaa
Akbar Allahabadi
Sher
chale bhii aa.o mire jiite-jii ab itnaa bhii
na intizaar ba.Dhaa.o ki nii.nd aa jaa.e
Mahshar Inayati
Sher
ziist se ta.ng ho ai 'daaG' to jiite kyuu.n ho
jaan pyaarii bhii nahii.n jaan se jaate bhii nahii.n
Dagh Dehlvi
Sher
qismat ne duur aisaa hii phe.nkaa hame.n ki ham
phir jiite-jii pahu.nch na sake apne yaar tak
Meer Hasan
Sher
Farhat Ehsas
Sher
dekhte hai.n be-niyaazaana guzar sakte nahii.n
kitne jiite is liye ho.nge ki mar sakte nahii.n
Mahboob Khizan
Sher
tumhaarii maut ne maaraa hai jiite-jii ham ko
hamaarii jaan bhii goyaa tumhaarii jaan me.n thii
Shakeel Azmi
Sher
jis shaKHs ke jiite jii puuchhaa na gayaa 'saaqib'
us shaKHs ke marne par uTThe hai.n qalam kitne
Saqib Lakhnavi
Sher
Muztar Khairabadi
Sher
saarii rusvaa.ii zamaane kii gavaaraa kar ke
zindagii jiite hai.n kuchh log KHasaara kar ke
Hashim Raza Jalalpuri
Sher
Shad Azimabadi
Sher
mujh ko ye soch hai jiite hai.n ve kyuu.n-kar yaa-rab
apne maashuuqo.n se jo shaKHs judaa rahte hai.n