SEARCH RESULTS
Showing search results for "jumbish"
Sher MATCHES FOR "jumbish"
Sher
go haath ko jumbish nahii.n aa.nkho.n me.n to dam hai
rahne do abhii saaGar-o-miinaa mire aage
Mirza Ghalib
Sher
dikhaa ke jumbish-e-lab hii tamaam kar ham ko
na de jo bosa to mu.nh se kahii.n javaab to de
Mirza Ghalib
Sher
vo boltaa thaa magar lab nahii.n hilaataa thaa
ishaara kartaa thaa jumbish na thii ishaare me.n
Iqbal Sajid
Sher
hazaar daam se niklaa huu.n ek jumbish me.n
jise Guruur ho aa.e kare shikaar mujhe
Shefta Mustafa Khan
Sher
jo us ke ho.nTo.n kii jumbish me.n qaid thaa 'ash.har'
vo ek lafz banaa bojh mere shaano.n kaa
Iqbal Ashhar
Sher
vo us nazar kaa tasaadum vo ho.nT kii jumbish
tamaam kar gayaa mujh ko kalaam karte hu.e
Ahtamam Sadiq
Sher
zaaviya dhuup ne kuchh aisaa banaayaa hai ki ham
saa.e ko jism kii jumbish se judaa dekhte hai.n
Asim Wasti
Sher
Syed Yusuf Ali Khan Nazim
Sher
jumbish-e-mehr hai har lafz tirii baato.n kaa
ra.ng u.Dtaa nahii.n aa.nkho.n se mulaaqaato.n kaa
Javed Nasir
Sher
jaam-e-sharaab ab to mire saamne na rakh
aa.nkho.n me.n nuur haath me.n jumbish kahaa.n hai ab
Akhtar Shahjahanpuri
Sher
Ameer Minai
Sher
duur rahtaa hai magar jumbish-e-lab bos-o-kanaar
Duubtaa rahtaa hai dariyaa me.n kinaaraa kyaa kyaa
Abul Hasanat Haqqi
Sher
Sundus Shaikh
Sher
zamii.n se ahl-e-falak ko payaam-e-nazzaara
naqaab-e-aariz-e-fitrat kii jumbish-e-paiham