SEARCH RESULTS
Showing search results for "kaifiyat-e-KHayaal"
Sher MATCHES FOR "kaifiyat-e-KHayaal"
Sher
vo de rahaa thaa talab se sivaa sabhii ko 'KHayaal'
so mai.n ne daaman-e-dil aur kuchh kushaada kiyaa
Ahmad Khayal
Sher
maKHluuq ko tumhaarii mohabbat me.n ai buto
iimaan kaa KHayaal na islaam kaa lihaaz
Parveen Umm-e-Mushtaq
Sher
vahii kaifiyyat-e-chashm-o-dil-o-jaa.n hai 'iqbaal'
na ko.ii rabt banaa aur na rishta TuuTaa
Iqbal Haider
Sher
tumhaarii aa.nkh me.n kaifiyyat-e-KHumaar to hai
sharaab kaa na sahii nii.nd kaa asar hii sahii
Shahzad Ahmad
Sher
kaifiyyat-e-chashm us kii mujhe yaad hai 'saudaa'
saaGar ko mire haath se liijo ki chalaa mai.n
Mohammad Rafi Sauda
Sher
nikal gayaa mirii aa.nkho.n se misl-e-KHvaa-o-KHayaal
guzar gayaa dil-e-raushan se vo nazar ban kar
Mazaq Badayuni
Sher
mai.n tujh ko dast-e-haqiiqat se chhuu ke dekhuu.ngaa
tuu ek paikar-e-KHvaab-o-KHayaal hai jaanaa.n
Riasath Ali Asrar
Sher
Ahtamam Sadiq
Sher
Natiq Gulavthi
Sher
aaj tak yaad hai kaifiyyat-e-jaa.n tere huzuur
sar se paa tak vo miraa dast-e-du.aa ho jaanaa
Shaz Tamkanat
Sher
ab dard me.n vo kaifiyat-e-dard nahii.n hai
aayaa huu.n jo us bazm-e-gul-afshaa.n se guzar ke
Ali Jawad Zaidi
Sher
rakhkhuu.n kahaa.n pe paa.nv ba.Dhaa.uu.n kidhar qadam
raKHsh-e-KHayaal aaj hai be-iKHtiyaar phir
Akram Naqqash
Sher
mauzuu'-e-guftuguu to hai jinsii jamaaliyaat
aur markaz-e-KHayaal tumhaaraa hii jism hai