SEARCH RESULTS
Showing search results for "kamzarf"
Sher MATCHES FOR "kamzarf"
Sher
taalaab to barsaat me.n ho jaate hai.n kam-zarf
baahar kabhii aape se samundar nahii.n hotaa
Ejaz Rahmani
Sher
kam-zarf zamaane kii hiqaarat kaa gila kyaa
mai.n KHush huu.n miraa pyaar samundar kii tarah hai
Akhtar Imam Rizvi
Sher
itne kam-zarf nahii.n ham jo bahakte jaave.n
misl-e-gul jaave.n jidhar jaave.n mahakte jaave.n
Dulhan Begum
Sher
kaise band hu.aa mai-KHaana ab maaluum hu.aa
pii na sakaa kam-zarf zamaana ab maaluum hu.aa
Hafeez Jalandhari
Sher
fasaad rokne kam-zarf log pahu.nche hai.n
gharo.n me.n rah ga.e raushan zamiir jitne the
Akmal Imaam
Sher
kam-zarf kii niyyat kyaa pighlaa hu.aa lohaa hai
bhar bhar ke chhalakte hai.n aksar yahii paimaane
Siraj Lakhnavi
Sher
achchhe-bhale jo log KHadd-o-KHaal se lage
lekin vo chaal-Dhaal se kam-zarf the bahut
Raghvendra Dwivedi
Sher
chhalkii har mauj-e-badan se husn kii dariyaa-dilii
bul-havas kam-zarf do chulluu me.n matvaale hu.e
Sajjad Baqar Rizvi
Sher
kam-zarf mezbaan kii daa'vat nahii.n qubuul
tho.Dii bahut pilaa ke jataanaa hai baar baar