SEARCH RESULTS
Showing search results for "karishme"
Sher MATCHES FOR "karishme"
Sher
abhii kuchh aur karishme Gazal ke dekhte hai.n
'faraaz' ab zaraa lahja badal ke dekhte hai.n
Ahmad Faraz
Sher
gulaab Tahnii se TuuTaa zamiin par na giraa
karishme tez havaa ke samajh se baahar hai.n
Shahryar
Sher
Akbar Allahabadi
Sher
Rajesh Reddy
Sher
Moghisuddin Fareedi
Sher
maanaa ki rang ra.ng tiraa pairahan bhii hai
par is me.n kuchh karishma-e-aks-e-badan bhii hai
Jan Nisar Akhtar
Sher
mehnat se hai azmat ki zamaane me.n nagii.n ko
be-kaavish-e-siina na kabhii naamvarii dii
Bahadur Shah Zafar
Sher
kyaa karishma hai mire jazba-e-aazaadii kaa
thii jo diivaar kabhii ab hai vo dar kii suurat
Akhtar Ansari Akbarabadi
Sher
KHirad kaa naam junuu.n pa.D gayaa junuu.n kaa KHirad
jo chaahe aap kaa husn-e-karishma-saaz kare
Hasrat Mohani
Sher
adaa-o-naaz o karishma jafaa-o-jaur-o-sitam
udhar ye sab hai.n idhar ek merii jaa.n tanhaa
Shaikh Zahuruddin Hatim
Sher
ko.ii suurat bhii nahii.n miltii kisii suurat me.n
kuuza-gar kaisaa karishma tire is chaak me.n hai
Alam Khursheed
Sher
aa.nkh se qatl kare lab se jalaa.e murde
sho.abada-baaz kaa adnaa saa karishma dekho
Rind Lakhnavi
Sher
Shad Azimabadi
Sher
dekh ye jazb-e-mohabbat kaa karishma to nahii.n
kal jo tere dil me.n thaa vo aaj mere dil me.n hai
Sarwar Alam Raz
Sher
Zahida Zaidi
Sher
shariik vo bhii rahaa kaavish-e-mohabbat me.n
shuruu.a us ne kiyaa thaa tamaam mai.n ne kiyaa