SEARCH RESULTS
Showing search results for "kasrat-e-asnaam"
Sher MATCHES FOR "kasrat-e-asnaam"
Sher
aaj kal jo kasrat-e-shoriidgaan-e-ishq hai
roz hote jaate hai.n haddaad naukar saik.Do.n
Maatam Fazl Mohammad
Sher
ho gayaa mehmaa.n-saraa-e-kasrat-e-mauhuum aah
vo dil-e-KHaalii ki teraa KHaas KHalvat-KHaana thaa
Khwaja Meer Dard
Sher
taalib-e-dost alag rahte hai.n sab se un ko
paas-e-asnaam nahii.n KHvaahish-e-islaam nahii.n
Meer Mehdi Majrooh
Sher
vahdat-e-husn ke jalvo.n kii ye kasrat ai ishq
dil ke har zarre me.n aalam hai parii-KHaane kaa
Fani Badayuni
Sher
Naseem Dehlvi
Sher
aa gayaa kaun ye aaj us ke muqaabil 'aslam'
aa.iina TuuT gayaa aks kii taabaanii se
Aslam Mahmood
Sher
namii utar ga.ii dhartii me.n tah-ba-tah 'aslam'
bahaar-e-ashk na.ii rut kii ibtidaa me.n hai
Aslam Emadi
Sher
Ehsan Darbhangavi
Sher
ham kaa.enaat-e-sidq ko saa.nche me.n Dhaal kar
doshiiza-e-zabaa.n kii viraasat me.n laa.e hai.n
Matin Niazi
Sher
dilo.n ke dard jagaa KHvaahisho.n ke KHvaab sajaa
balaa-kashaan-e-nazar ke liye saraab sajaa
Atta Shad
Sher
taariiKH-e-kaa.enaat-e-ibaadat junuu.n se hai
unvaan-e-aql-o-hosh hai diivaangii kii baat
Payam Fatehpuri
Sher
maKHluuq ko tumhaarii mohabbat me.n ai buto
iimaan kaa KHayaal na islaam kaa lihaaz
Parveen Umm-e-Mushtaq
Sher
jo shaiKH hai chaahe hai sar-e-rishta-e-islaam
qaa.em rahe tasbiih kaa ik taar na TuuTe
Gulam Yahya Huzur Azimabadi
Sher
jahaa.n vo hai nahii.n vaa.n kufr o islaam
abas jhag.Daa hai shaiKH o barhaman me.n
Meer Mohammadi Bedar
Sher
kufr o islaam kii kuchh qaid nahii.n ai 'aatish'
shaiKH ho yaa ki barhaman ho par insaa.n hove
Haidar Ali Aatish
Sher
kufr o islaam ke jhag.De ko chukaa do saahab
ja.ng aapas me.n kare.n shaiKH o barahman kab tak