SEARCH RESULTS
Showing search results for "kaunain"
Sher MATCHES FOR "kaunain"
Sher
chhuT jaa.e agar daaman-e-kaunain to kyaa Gam
lekin na chhuTe haath se daamaan-e-mohammad
Asghar Gondvi
Sher
mai.n samajhtaa huu.n mujhe daulat-e-kaunain milii
kaun kahtaa hai ki vo kar ga.e badnaam mujhe
Syed Ehtisham Husain
Sher
'fitrat' dil-e-kaunain kii dha.Dkan to zaraa sun
ye hazrat-e-insaa.n hii kii azmat kaa bayaa.n hai
Abdul Aziz Fitrat
Sher
Shah Naseer
Sher
kaunain-e-ain-e-ilm me.n hai jalva-gaah-e-husn
jeb-e-KHirad se ainak-e-irfaa.n nikaaliye
Sahir Dehlavi
Sher
terii aa.nkho.n ke tasavvur me.n hai sair-e-kaunain
varna ham log idhar ke idhar ho ke rahte
Maroof Dehlvi
Sher
sab kuchh luTaa ke raah-e-mohabbat me.n ahl-e-dil
KHush hai.n ki jaise daulat-e-kaunain paa ga.e
Jigar Moradabadi
Sher
har buu.nd nok-e-kilk kii detii hai dars-e-hosh
kaunain kaa suraaG bhii batn-e-suKHan me.n hai
Bebak Bhojpuri
Sher
Nazeer Akbarabadi
Sher
Khayal Amrohvi
Sher
tumhaarii shab hai maatam-kunaa.n abhii mujh me.n
tumhaaraa dard abhii tak siyah libaas me.n hai
Fauziya rabab
Sher
shabnamii qatre gul-e-laala pe the raqs-kunaa.n
barf ke Tuk.De bhii dekhe ga.e a.ngaaro.n me.n
Mahfuzur Rahman Adil
Sher
har kuuche me.n armaano.n kaa KHuun hu.aa
shahr ke jitne raste hai.n sab KHuunii.n hai.n