SEARCH RESULTS
Showing search results for "kaunain"
Ghazal MATCHES FOR "kaunain"
Ghazal
muKHtasar qissa-e-Gam ye hai ki dil rakhtaa huu.n
raaz-e-kaunain KHulaasa hai is afsaane kaa
Fani Badayuni
Ghazal
ab kaarobaar-e-ishq se fursat mujhe kahaa.n
kaunain kaa vo dard ba.Dhaa kar chale ga.e
Jigar Moradabadi
Ghazal
vo dil ki jis pe qiimat-e-kaunain thii nisaar
nazr-e-nigaah-e-yaar kiyaa haa.e kyaa kiyaa
Behzad Lakhnavi
Ghazal
sab kuchh luTaa ke raah-e-mohabbat me.n ahl-e-dil
KHush hai.n ki jaise daulat-e-kaunain paa ga.e
Jigar Moradabadi
Ghazal
kaunain badal jaa.e magar tuu na badalnaa
tere hii sabab ahl-e-mohabbat kaa bharam hai
Fana bulandshahri
Ghazal
Qateel Shifai
Ghazal
sab daulat-e-kaunain jo dii ishq ke badle
is bhaa.o ye saudaa mujhe sastaa nazar aayaa
Khwaja Aziz-ul-Hasan Majzuub
Ghazal
raanaa.i-e-kaunain se be-zaar hamii.n the
ham the tire jalvo.n ke talabgaar hamii.n the
Ehsan Danish
Ghazal
tasadduq ismat-e-kaunain us majzuub-e-ulfat par
jo un kaa Gam chhupaa.e aur KHud bad-naam ho jaa.e
Sheri Bhopali
Ghazal
barham kare jam.iyyat-e-kaunain jo pal me.n
laTkaa vo tirii zulf-e-pareshaan me.n dekhaa
Mohammad Rafi Sauda
Ghazal
saamne mahshar ho yaa kaunain chaahe kuchh bhii ho
un kaa diivaana to ab aataa nahii.n hai hosh me.n
Kaif Moradaabadi
Ghazal
sarshaar huu.n sarshaar hai duniyaa mire aage
kaunain hai ik larzish-e-sahbaa mire aage
Josh Malihabadi
Ghazal
kaunain se kyaa ahl-e-muhabbat ko sarokaar
kaunain hai KHud haashiya-bardaar-e-mohabbat
Jigar Moradabadi
Ghazal
tirii nigaah ne tho.Dii sii raushnii kar dii
vagarna arsa-e-kaunain me.n a.ndheraa thaa
Abdul Hamid Adam
Ghazal
kaunain pe bhaarii hai allaah re Guruur un kaa
itne bhii adaa vaale maGruur nahii.n hote
Fani Badayuni
Ghazal
ye jaaniye ki lagii haath daulat-e-kaunain
mile jo KHirman-e-hastii se ek daana-e-ishq
Jaleel Manikpuri
Ghazal
bazm-e-kaunain murattab hu.ii terii KHaatir
vaqt hai tere liye is me.n jo maal achchhaa hai
Mohammad Yusuf Rasikh
Ghazal
ab to nazar me.n daulat-e-kaunain hech hai
jab tujh ko paa liyaa dil-e-ummiid-vaar ne
Bedam Shah Warsi
Ghazal
ta.ngii-o-vus.at-e-kaunain me.n nisbat kaisii
dar-e-tauba se dar-e-mai-kadaa ho baaz judaa
Firaq Gorakhpuri
Ghazal
hech hotii hai nigaaho.n me.n mataa-e-kaunain
mere dilbar kii nazar jab bhii idhar hotii hai