SEARCH RESULTS
Showing search results for "khaak-e-saaqi-e-mahvash"
Sher MATCHES FOR "khaak-e-saaqi-e-mahvash"
Sher
aataa hai jii me.n saaqi-e-mah-vash pe baar baar
lab chuum luu.n tiraa lab-e-paimaana chho.D kar
Jaleel Manikpuri
Sher
laGzish-e-saaqii-e-mai-KHaana KHudaa KHair kare
phir na TuuTe ko.ii paimaana KHudaa KHair kare
Abdullateef Shauq
Sher
uTThii hai chashm-e-saaqii-e-mai-KHaana bazm par
ye vaqt vo nahii.n ki halaal-o-haraam dekh
Firaq Gorakhpuri
Sher
fareb-e-saaqi-e-mahfil na puuchhiye 'majruuh'
sharaab ek hai badle hu.e hai.n paimaane
Majrooh Sultanpuri
Sher
sharaab o saaqii-e-mah-ruu jo saath ho.n 'bedaar'
to KHush-numaa hai shab-e-maahtaab me.n dariyaa
Meer Mohammadi Bedar
Sher
kyuu.n shikva-e-be-mehrii-e-saaqii hai labo.n par
piinaa hai to KHud ba.Dh ke piyo baada-gusaaro
Wahid Premi
Sher
Faza Ibn e Faizi
Sher
Muztar Khairabadi
Sher
Aale Ahmad Suroor
Sher
dariyaa-e-sharaab us ne bahaayaa hai hamesha
saaqii se jo kashtii ke talabgaar hu.e hai.n
Kalb-e-husain Nadir
Sher
kis tarah kar diyaa dil-e-naazuk ko chuur-chuur
is vaaqi.a kii KHaak hai patthar ko ittilaa.a
Parveen Umm-e-Mushtaq
Sher
Parveen Umm-e-Mushtaq
Sher
chaaliis jaam pii ke diyaa ek jaam-e-mai
saaqii ne KHuub raah nikaalii zakaat kii
Kalb-e-husain Nadir
Sher
Abdul Hameed Saqi
Sher
apne junuu.n-kade se nikaltaa hii ab nahii.n
saaqii jo mai-farosh sar-e-rahguzaar thaa
Pandit Jawahar Nath Saqi
Sher
KHaak-e-aaGushta-ba-KHuu.n ko mirii be-qadr na jaan
gul-badan saare ise karte hai.n ubTab apnaa
Mushafi Ghulam Hamdani
Sher
KHaak-e-sahraa-e-junuu.n narm hai resham kii tarah
aabla hai na ko.ii aabla-paa mere ba.ad