SEARCH RESULTS
Showing search results for "khajil"
Sher MATCHES FOR "khajil"
Sher
hazaar ta.ane sunegaa KHajil nahii.n hogaa
ye vo hujuum hai jo mushta.il nahii.n hogaa
Abid Malik
Sher
havaa se kah do ki kuchh der ko Thahar jaa.e
KHajil hamaarii ibaarat havaa se hotii hai
Khurshid Talab
Sher
kyaa iztiraab-e-shauq ne mujh ko KHajil kiyaa
vo puuchhte hai.n kahiye iraade kahaa.n ke hai.n
Dagh Dehlvi
Sher
KHajil charaaGo.n se ahl-e-vafaa ko honaa hai
ki sarfaraaz yahaa.n phir havaa ko honaa hai
Shahryar
Sher
ham un se aur vo ham se dam-e-sulh the KHajil
chhii.nTe la.Daa kiye araq-e-infi.aal ke
Asad Ali Khan Qalaq
Sher
us kii yaad aa.ii hai saa.nso zaraa aahista chalo
dha.Dkano.n se bhii ibaadat me.n KHalal pa.Dtaa hai
Rahat Indori
Sher
yuu.n to marne ke liye zahr sabhii piite hai.n
zindagii tere liye zahr piyaa hai mai.n ne
Khalil Ur Rahman Azmi
Sher
roz taaro.n ko numaa.ish me.n KHalal pa.Dtaa hai
chaa.nd paagal hai a.ndhere me.n nikal pa.Dtaa hai
Rahat Indori
Sher
mohabbat kii to ko.ii had, ko.ii sarhad nahii.n hotii
hamaare darmiyaa.n ye faasle, kaise nikal aa.e
Khalid Moin
Sher
auro.n kii buraa.ii ko na dekhuu.n vo nazar de
haa.n apnii buraa.ii ko parakhne kaa hunar de
Khaleel Tanveer
Sher
bichh.Daa kuchh is adaa se ki rut hii badal ga.ii
ik shaKHs saare shahr ko viiraan kar gayaa
Khalid Sharif
Sher
Muztar Khairabadi
Sher
rusvaa hu.e zaliil hu.e dar-ba-dar hu.e
haq baat lab pe aa.ii to ham be-hunar hu.e
Khaleel Tanveer
Sher
saaya hai kam khajuur ke uu.nche daraKHt kaa
ummiid baa.ndhiye na ba.De aadmii ke saath
Kaif Bhopali
Sher
Parveen Shakir
Sher
ra.ng KHushbuu aur mausam kaa bahaanaa ho gayaa
apnii hii tasviir me.n chehra puraanaa ho gayaa
Khalid Ghani
Sher
na jaane kis kii hame.n umr bhar talaash rahii
jise qariib se dekhaa vo duusraa niklaa