SEARCH RESULTS
Showing search results for "kho.iye"
Sher MATCHES FOR "kho.iye"
Sher
dil me.n kisii ke raah kiye jaa rahaa huu.n mai.n
kitnaa hasii.n gunaah kiye jaa rahaa huu.n mai.n
Jigar Moradabadi
Sher
apne hone kaa kuchh ehsaas na hone se hu.aa
KHud se milnaa miraa ik shaKHs ke khone se hu.aa
Musavvir Sabzwari
Sher
Muneer Niyazi
Sher
dekhte rah jaa.o ki hai.n un ko hu.aa kyaa ki inho.n ne miraa dil le ke mire haath se khoyaa
Muztar Khairabadi
Sher
Waseem Barelvi
Sher
na gul khile hai.n na un se mile na mai pii hai
ajiib rang me.n ab ke bahaar guzrii hai
Faiz Ahmad Faiz
Sher
zahr miiThaa ho to piine me.n mazaa aataa hai
baat sach kahiye magar yuu.n ki haqiiqat na lage
Fuzail Jafri
Sher
mai.n bhii use khone kaa hunar siikh na paayaa
us ko bhii mujhe chho.D ke jaanaa nahii.n aataa
Waseem Barelvi
Sher
baat vo kahiye ki jis baat ke sau pahluu ho.n
ko.ii pahluu to rahe baat badalne ke liye
Bekhud Dehlvi
Sher
raat yuu.n dil me.n tirii kho.ii hu.ii yaad aa.ii
jaise viiraane me.n chupke se bahaar aa jaa.e
Faiz Ahmad Faiz
Sher
ik chubhan hai ki jo bechain kiye rahtii hai
aisaa lagtaa hai ki kuchh TuuT gayaa hai mujh me.n
Irfan Sattar
Sher
jis ne is daur ke insaan kiye hai.n paidaa
vahii meraa bhii KHudaa ho mujhe manzuur nahii.n
Hafeez Jalandhari
Sher
aabaad agar na dil ho to barbaad kiijiye
gulshan na ban sake to bayaabaa.n banaa.iye