SEARCH RESULTS
Showing search results for "kho.iye"
Ghazal MATCHES FOR "kho.iye"
Ghazal
iKHlaas dil se chaahiye sajda namaaz me.n
be-faa.eda hai varna jo yuu.n vaqt kho.iye
Meer Taqi Meer
Ghazal
khoyaa gayaa hai shaiKH qayaamat ke vahm me.n
khonaa vahii ki aap ko aap hii me.n kho.iye
Shaikh Zahuruddin Hatim
Ghazal
hirs-o-havaa-e-daar-e-fanaa se Garaz nahii.n
duniyaa se kho.iye mujhe apnaa banaa.iye
Shahzadi Kulsum
Ghazal
'haatim' kisii se apnii musiibat ko tuu na kah
kyaa faa.eda jo apnaa bharam muft kho.iye
Shaikh Zahuruddin Hatim
Ghazal
dil apnaa us ko diijiye yaa jii ko kho.iye
is ke sivaa tarah nahii.n ko.ii najaat kii
Meer Hasan
Ghazal
hai dil me.n mudda.aa ki evaz jaa.n nikaaliye
jii kho.iye pa jii kaa na armaa.n nikaaliye
Mazaq Badayuni
Ghazal
rahii na taaqat-e-guftaar aur agar ho bhii
to kis umiid pe kahiye ki aarzuu kyaa hai
Mirza Ghalib
Ghazal
'Gaalib'-e-KHasta ke baGair kaun se kaam band hai.n
ro.iye zaar zaar kyaa kiijiye haa.e haa.e kyuu.n
Mirza Ghalib
Ghazal
muddat hu.ii hai yaar ko mehmaa.n kiye hu.e
josh-e-qadah se bazm charaaGaa.n kiye hu.e
Mirza Ghalib
Ghazal
na gul khile hai.n na un se mile na mai pii hai
ajiib rang me.n ab ke bahaar guzrii hai
Faiz Ahmad Faiz
Ghazal
mai.n bhii use khone kaa hunar siikh na paayaa
us ko bhii mujhe chho.D ke jaanaa nahii.n aataa