SEARCH RESULTS
Showing search results for "kinaayat"
Sher MATCHES FOR "kinaayat"
Sher
jo bhii kahnaa hai kaho saaf shikaayat hii sahii
in ishaaraat-o-kinaayaat se jii Dartaa hai
Hasan Naim
Sher
ab khul ke kaho baat to kuchh baat banegii
ye daur-e-ishaaraat-o-kinaayaat nahii.n hai
Hafeez Merathi
Sher
ab to mil jaa.o hame.n tum ki tumhaarii KHaatir
itnii duur aa ga.e duniyaa se kinaaraa karte
Obaidullah Aleem
Sher
apnii mastii me.n bahtaa dariyaa huu.n
mai.n kinaara bhii huu.n bha.nvar bhii huu.n
Tahzeeb Hafi
Sher
azal se qaa.em hai.n dono.n apnii zido.n pe 'mohsin'
chalegaa paanii magar kinaara nahii.n chalegaa
Mohsin Naqvi
Sher
Basit Bhopali
Sher
jaate jaate diyaa is tarah dilaasaa us ne
biich dariyaa me.n ko.ii jaise kinaara niklaa
Lutf-ur-rahman
Sher
Saleem Kausar
Sher
KHudii vo bahr hai jis kaa ko.ii kinaara nahii.n
tuu aabjuu ise samjhaa agar to chaara nahii.n
Allama Iqbal
Sher
tujh se milne kii tamannaa bhii bahut hai lekin
aane jaane me.n kiraaya bhii bahut lagtaa hai
Rahat Indori
Sher
mire naaKHudaa na ghabraa ye nazar hai apnii apnii
tire saamne hai tuufaa.n mire saamne kinaaraa
Farooq Banspari
Sher
is jahaa.n me.n nahii.n ko.ii ahl-e-vafaa
ai 'fanaa' is jahaa.n se kinaaraa karo
Fana bulandshahri
Sher
na ishaara na kinaaya na tabassum na kalaam
paas baiThe hai.n magar duur nazar aate hai.n
Jaleel Manikpuri
Sher
Shakeel Badayuni
Sher
ham gardish-e-girdaab-e-alam se nahii.n Darte
tuufaa.n hai agar aaj kinaara bhii to hogaa
Athar Raz
Sher
is se pahle ki ye aazaar gavaara kar le.n
aa mirii jaan mohabbat se kinaara kar le.n