SEARCH RESULTS
Showing search results for "kitaab-e-amal"
Sher MATCHES FOR "kitaab-e-amal"
Sher
dekhne vaale ye kahte hai.n kitaab-e-dahr me.n
tuu saraapaa husn kaa naqsha hai mai.n tasviir-e-ishq
Parveen Umm-e-Mushtaq
Sher
Asghar Gondvi
Sher
musta.id huu.n tire zulfo.n kii siyaahii le kar
safha-e-naama-e-aamaal kuu.n kaalaa karne
Siraj Aurangabadi
Sher
jamaaliyaat kii shah-surKHiyaa.n bhii pa.Dh lenaa
kitaab-e-siina-e-doshiizgaa.n bhii pa.Dh lenaa
Zahoor Minhas
Sher
Mirza Daood Beg
Sher
jurm itne kar chalaa huu.n hashr tak likkhe.nge roz
kaatib-e-aamaal paa.e.nge na fursat kaam se
Waseem Khairabadi
Sher
tumhaare naam ke niiche khi.nchii hu.ii hai lakiir
kitaab-e-ziist hai saada is indiraaj ke ba.ad
Aanis Moin
Sher
Ghulam Mohammad Qasir
Sher
the yahaa.n saare amal radd-e-amal ke muhtaaj
zindagii bhii hame.n darkaar thii marne ke liye
Ahmad Sagheer Siddiqui
Sher
kitaab-e-zindagii kii ye muqaddas aayate.n hai.n
hiran chiital chikaare titliyaa.n jugnuu parinde
Zafar Khan Niyazi
Sher
kitaab-e-ziist kaa unvaan ban ga.e ho tum
hamaare pyaar kii dekho ye intihaa saahab
Indira Varma
Sher
roz-e-hisaab jab miraa pesh ho daftar-e-amal
aap bhii sharmsaar ho mujh ko bhii sharmsaar kar
Allama Iqbal
Sher
hai KHayaal-e-husn me.n husn-e-amal kaa saa KHayaal
KHuld kaa ik dar hai merii gor ke andar khulaa
Mirza Ghalib
Sher
ai falak kuchh to asar husn-e-amal me.n hotaa
shiisha ik roz to vaa.iz ke baGal me.n hotaa