SEARCH RESULTS
Showing search results for "laa-mahduud"
Sher MATCHES FOR "laa-mahduud"
Sher
jo raah ahl-e-KHirad ke liye hai laa-mahduud
junuun-e-ishq me.n vo chand gaam hotii hai
Ravish Siddiqi
Sher
daastaan-e-husn jab phailii to laa-mahduud thii
aur jab simTii to teraa naam ho kar rah ga.ii
Ali Ahmad Rifat
Sher
niilii chhat pe laa-mahduud parinde the
aaj kisii ne ashk bahaa kar raqs kiyaa
Mohammad Mustahsan Jami
Sher
ye mahr-o-maah-o-kavaakib kii bazm-e-laa-mahduud
salaa-e-daavat-e-parvaaz hai bashar ke liye
Habeeb Ahmad Siddiqui
Sher
Tanveer Sipra
Sher
makaa.n kii ko.ii KHabar laa-makaa.n ko kaise ho
safiir-e-ruuh abhii jism ke hisaar me.n hai
Akram Mahmud
Sher
Heera Lal Falak Dehlvi
Sher
kitne chehre kitnii shakle.n phir bhii tanhaa.ii vahii
kaun le aayaa mujhe in aa.iino.n ke darmiyaa.n
Mahmood Shaam
Sher
martaa hai jo mahbuub kii Thokar pe 'naziir' aah
phir us ko kabhii aur ko.ii lat nahii.n lagtii
Nazeer Akbarabadi
Sher
ham ko aavaargii kis dasht me.n laa.ii hai ki ab
ko.ii imkaa.n hii nahii.n lauT ke ghar jaane kaa
Ahmad Mahfuz
Sher
zehn par zor bhii Daalo to na yaad aa.uu.n mai.n
is tarah parda-e-nisyaa.n me.n chhupaa lo mujh ko
Ahmad Mahfuz
Sher
ajnabii shahr me.n kuchh KHauf saa mahsuus hu.aa
o.Dh lii mai.n ne KHamoshii se utaarii hu.ii raat
Moid Rasheedi
Sher
usii kii shakl mujhe chaa.nd me.n nazar aa.e
vo maah-ruKH jo lab-e-baam bhii nahii.n aataa
Ghulam Mohammad Qasir
Sher
laa.ii hai kis maqaam pe ye zindagii mujhe
mahsuus ho rahii hai KHud apnii kamii mujhe