SEARCH RESULTS
Showing search results for "laa-mahduud"
Ghazal MATCHES FOR "laa-mahduud"
Ghazal
kahaa.n se laa.uu.n mai.n fikr-e-vasii.a-o-laa-mahduud
asiir-e-daam-e-ta.ayyun hai kaa.enaat-e-vajuud
Saqib Kanpuri
Ghazal
ishq-e-laa-mahduud jab tak rahnumaa hotaa nahii.n
zindagii se zindagii kaa haq adaa hotaa nahii.n
Jigar Moradabadi
Ghazal
ahd-e-nau taariiKH-e-laa-mahduud kii baate.n kare.n
aa.o baiThe.n lamha-e-maujuud kii baate.n kare.n
Siddiq Fatahpuri
Ghazal
ho sake to dahr kaa naqsha uThaa kar dekhiye
kis qadar mahduud hai.n ham arz-e-laa-mahduud par
Jabbar Wasif
Ghazal
takallufaat kii jang aur dast-e-laa-mahduud
ye sochtaa huu.n ki mai.n hii shikast maan na luu.n
Shehpar Rasool
Ghazal
baal-o-par ke aazmaane ko fazaa.e.n hai.n bahut
aasmaa.n kaa dast-e-laa-mahduud aisaa kam nahii.n
Nami Ansari
Ghazal
saa.ns letaa hai zauq-e-laa-mahduud
KHvaahish-e-baam-o-dar ke pahluu me.n
Mashkoor Husain Yaad
Ghazal
vaqt mahduud diyaa kaam diyaa laa-mahduud
zindagii bol tiraa qarz chukaa.uu.n kaise
Mahir Abdul Hayee
Ghazal
vo kaa.enaat kaa maalik 'ataa.e.n laa-mahduud
du'aa.e.n apnii rahii.n KHvaahishaat tak mahduud
Qamar Siddiqui Fatehpuri
Ghazal
niilii chhat pe laa-mahduud parinde the
aaj kisii ne ashk bahaa kar raqs kiyaa