SEARCH RESULTS
Showing search results for "laal-e-mai"
Sher MATCHES FOR "laal-e-mai"
Sher
chaaliis jaam pii ke diyaa ek jaam-e-mai
saaqii ne KHuub raah nikaalii zakaat kii
Kalb-e-husain Nadir
Sher
Aale Ahmad Suroor
Sher
lab-e-mai-guu.n kaa taqaazaa hai ki jiinaa hogaa
aa.nkh kahtii hai tujhe zahr bhii piinaa hogaa
Riyaz Khairabadi
Sher
tire javaahir-e-tarf-e-kulah ko kyaa dekhe.n
ham auj-e-taala-e-laal-o-gohar ko dekhte hai.n
Mirza Ghalib
Sher
raqs-e-mai tez karo saaz kii lai tez karo
suu-e-mai-KHaana safiiraan-e-haram aate hai.n
Faiz Ahmad Faiz
Sher
ham jaam-e-mai ke bhii lab-e-tar chuuste nahii.n
chaskaa pa.Daa hu.aa hai tumhaarii zabaan kaa
Riyaz Khairabadi
Sher
chillaa rahaa huu.n qulqul-e-miinaa-e-mai kii shakl
de jaam ke labo.n se mujhe saaqiyaa javaab
Imdad Ali Bahr
Sher
thii agar mai se suraahii tirii KHaalii saaqii
to charaaG-e-dar-e-mai-KHaana jalaayaa kyuu.n thaa
Unknown
Sher
Ehsan Danish
Sher
Wali Dakni
Sher
Fani Badayuni
Sher
paan khaa kar jo ugaal aap ne thuukaa saahab
jauharii mahv hu.e la.al-e-yaman yaad aayaa
Aagha Akbarabadi
Sher
laGzish-e-saaqii-e-mai-KHaana KHudaa KHair kare
phir na TuuTe ko.ii paimaana KHudaa KHair kare
Abdullateef Shauq
Sher
aaKHir gil apnii sarf-e-dar-e-mai-kada hu.ii
pahu.nche vahaa.n hii KHaak jahaa.n kaa KHamiir ho
Meerza Jawan Bakht Jahandar
Sher
ham jaante hai.n lutf-e-taqaazaa-e-mai-farosh
vo naqd me.n kahaa.n jo mazaa hai udhaar me.n