SEARCH RESULTS
Showing search results for "lahar"
Sher MATCHES FOR "lahar"
Sher
Zubair Rizvi
Sher
tez dhuup me.n aa.ii aisii lahar sardii kii
mom kaa har ik putlaa bach gayaa pighalne se
Qateel Shifai
Sher
Saleem Kausar
Sher
ik lahar hai ki mujh me.n uchhalne ko hai 'zafar'
ik lafz hai ki mujh se adaa hone vaalaa hai
Zafar Iqbal
Sher
Sahba Akhtar
Sher
phir aa.ii zulf-e-musalsal kii lahr pesh-e-nazar
phir ik junuu.n ke na.e silsile hu.e dil me.n
Mushafi Ghulam Hamdani
Sher
simaT ga.ii to shabnam phuul sitaara thii
biphar ke merii lahar lahar a.ngaara thii
Azra Parveen
Sher
ik lahar us kii aa.nkh me.n hai hausla-shikan
ik rang us ke chehre pe bahkaane vaalaa hai
Jamal Ehsani
Sher
mushkil hai rok aah-e-dil-e-daaGdaar kii
kahte hai.n sau sunaar kii aur ik luhaar kii
Shah Naseer
Sher
aa.nkho.n tak aa sakii na kabhii aa.nsu.o.n kii lahr
ye qaafila bhii naql-e-makaanii me.n kho gayaa
Abbas Tabish
Sher
kafan ai gard-e-lahad dekh na mailaa ho jaa.e
aaj hii ham ne ye kap.De hai.n nahaa ke badle
Fani Badayuni
Sher
maut ne kar diyaa laachaar vagarna insaa.n
hai vo KHud-bii.n ki KHudaa kaa bhii na qaa.il hotaa
Shaikh Ibrahim Zauq
Sher
lahad me.n kyuu.n na jaa.uu.n mu.nh chhupaa.e
bharii mahfil se uThvaayaa gayaa huu.n
Shad Azimabadi
Sher
kausar kaa jaam us ko ilaahii nasiib ho
ko.ii sharaab merii lahad par chhi.Dak gayaa
Imdad Ali Bahr
Sher
ho gayaa laaGar jo us lailaa-adaa ke ishq me.n
misl-e-majnuu.n haal meraa bhii fasaana ho gayaa
Bhartendu Harishchandra
Sher
Ambarin Salahuddin
Sher
tere jaane se zyaada hai.n na kam pahle the
ham ko laahaq hai.n vahii ab bhii jo Gam pahle the
Afzal Khan
Sher
aa hii gayaa vo mujh ko lahad me.n utaarne
Gaflat zaraa na kii mire Gaflat-shi.aar ne