SEARCH RESULTS
Showing search results for "lambe"
Sher MATCHES FOR "lambe"
Sher
gahrii soche.n lambe din aur chhoTii raate.n
vaqt se pahle dhuup saro.n pe aa pahu.nchii
Aanis Moin
Sher
Nushur Wahidi
Sher
charaaGo.n ne hamaare saa.e lambe kar diye itne
savere tak kahii.n pahu.nche.nge ab apne baraabar ham
Aziz Bano Darab Wafa
Sher
tuu sar na guu.ndh ki shaagird hone vaalaa hai
miraa nasiib tire lambe lambe baalo.n kaa
Ashique Akbarabadi
Sher
Ibn۔e۔Insha
Sher
vo motiyo.n se daa.nt vo lambe siyaah baal
naqlii thaa saaraa maal pata chal gayaa mujhe
Nashtar Amrohvi
Sher
dil naa-umiid to nahii.n naakaam hii to hai
lambii hai Gam kii shaam magar shaam hii to hai
Faiz Ahmad Faiz
Sher
haath chhuuTe.n bhii to rishte nahii.n chho.Daa karte
vaqt kii shaaKH se lamhe nahii.n to.Daa karte
Gulzar
Sher
ek lamhe me.n bikhar jaataa hai taanaa-baanaa
aur phir umr guzar jaatii hai yakjaa.ii me.n
Ahmad Mushtaq
Sher
be-KHatar kuud pa.Daa aatish-e-namruud me.n ishq
aql hai mahv-e-tamaashaa-e-lab-e-baam abhii
Allama Iqbal
Sher
umr kaa lambaa hissa kar ke daanaa.ii ke naam
ham bhii ab ye soch rahe hai.n paagal ho jaa.e.n
Shahryar
Sher
tere jalvo.n ne mujhe gher liyaa hai ai dost
ab to tanhaa.ii ke lamhe bhii hasii.n lagte hai.n
Seemab Akbarabadi
Sher
lamhe udaas udaas fazaa.e.n ghuTii ghuTii
duniyaa agar yahii hai to duniyaa se bach ke chal
Shakeel Badayuni
Sher
ye charaaG jaise lamhe kahii.n raa.egaa.n na jaa.e.n
ko.ii KHvaab dekh Daalo ko.ii inqilaab laa.o