SEARCH RESULTS
Showing search results for "lashkar-e-shaddaad"
Sher MATCHES FOR "lashkar-e-shaddaad"
Sher
uff vo tuufaan-e-shabaab aah vo siina teraa
jise har saa.ns me.n dab dab ke ubhartaa dekhaa
Andaleeb Shadani
Sher
nishaan-e-'miir' hai ham se jo ham miTe ai 'shaad'
ye jaan reKHta-go.ii ga.ii zamaane se
Shad Lakhnavi
Sher
puuchhaa jo shabaab-e-basharii chashm-e-fanaa se
palko.n ne sadaa dii ki bharosaa nahii.n pal kaa
Shad Lakhnavi
Sher
mujhe kisii ne sunaa hii nahii.n tavajjoh se
mai.n bad-zabaan sadaa-e-karaKHt huu.n shaayad
Aqeel Shadab
Sher
sambhaalaa hosh to marne lage hasiino.n par
hame.n to maut hii aa.ii shabaab ke badle
Sukhan dehlvi
Sher
'shaad' Gair-mumkin hai shikva-e-butaa.n mujh se
mai.n ne jis se ulfat kii us ko baa-vafaa paayaa
Shaad Aarfi
Sher
ra.ng laa.egii hamaarii ta.ng-dastii ek din
misl-e-Gaalib 'shaad' gar sab kuchh udhaar aataa gayaa
Shaad Aarfi
Sher
asiir-e-panja-e-ahd-e-shabaab kar ke mujhe
kahaa.n gayaa miraa bachpan KHaraab kar ke mujhe
Muztar Khairabadi
Sher
ko.ii bhuulaa hu.aa chehra nazar aa.e shaayad
aa.iina Gaur se tuu ne kabhii dekhaa hii nahii.n
Shakeb Jalali
Sher
abhii gunaah kaa mausam hai aa shabaab me.n aa
nasha utarne se pahle mirii sharaab me.n aa