SEARCH RESULTS
Showing search results for "luTaa.e"
Sher MATCHES FOR "luTaa.e"
Sher
duniyaa kahaa.n thii paas-e-viraasat ke zimn me.n
ik diin thaa so us pe luTaa.e hu.e to hai.n
Hasan Abidi
Sher
Shahab Jafri
Sher
bosa jo talab mai.n ne kiyaa ha.ns ke vo bole
ye husn kii daulat hai luTaa.ii nahii.n jaatii
Unknown
Sher
aap aa.e to bahaaro.n ne luTaa.ii KHushbuu
phuul to phuul the kaa.nTo.n se bhii aa.ii KHushbuu
Unknown
Sher
mujh se dillii kii nahii.n dil kii kahaanii suniye
shahr to ye bhii ka.ii baar luTaa hai mujh me.n
Mansoor Usmani
Sher
dil ke luTne kaa sabab puuchho na sab ke saamne
naam aa.egaa tumhaaraa ye kahaanii phir sahii
Masroor Anwar
Sher
tuu itnii dil-zada to na thii ai shab-e-firaaq
aa tere raaste me.n sitaare luTaa.e.n ham
Ahmad Faraz
Sher
Sufi Ghulam Mustafa Tabassum
Sher
kisii pe karnaa nahii.n e'tibaar merii tarah
luTaa ke baiThoge sabr o qaraar merii tarah
Fareed Parbati
Sher
sukuun luTtaa rahegaa fazaa hii aisii hai
tumhaare shahr kii aab-o-havaa hii aisii hai
Asad Rizvi
Sher
bam phaTe log mare KHuun bahaa shahr luTe
aur kyaa likkhaa hai aKHbaar me.n aage pa.Dhiye
Zaheer Ghazipuri
Sher
chuntii hai.n mere ashk ruto.n kii bhikaarane.n
'mohsin' luTaa rahaa huu.n sar-e-aam chaa.ndnii
Mohsin Naqvi
Sher
ahl-e-biinash ko hai tuufaan-e-havaadis maktab
lutma-e-mauj kam az saili-e-ustaad nahii.n
Mirza Ghalib
Sher
Mirza Ghalib
Sher
kaarvaa.n jin kaa luTaa raah me.n aazaadii kii
qaum kaa mulk kaa un dard ke maaro.n ko salaam