SEARCH RESULTS
Showing search results for "maayuub"
Sher MATCHES FOR "maayuub"
Sher
dekhaa hai mohabbat ko ibaadat kii nazar se
nafrat ke avaamil hame.n ma.ayuub rahe hai.n
Iqbal Kaifi
Sher
ishq me.n ye tafraqa-baazii bahut ma.ayuub hai
pyaar ko shii.a vahaabii aur sunnii mat samajh
Aziz Faisal
Sher
inqalaab aa.egaa raftaar se maayuus na ho
bahut aahista nahii.n hai jo bahut tez nahii.n
Ali Sardar Jafri
Sher
maujo.n kii siyaasat se maayuus na ho 'faanii'
girdaab kii har tah me.n saahil nazar aataa hai
Fani Badayuni
Sher
yaa-rab tirii rahmat se maayuus nahii.n 'faanii'
lekin tirii rahmat kii taaKHiir ko kyaa kahiye
Fani Badayuni
Sher
mai.n apne shahr se maayuus ho ke lauT aayaa
puraane sog base the na.e makaano.n me.n
Saqi Faruqi
Sher
phir mirii aas ba.Dhaa kar mujhe maayuus na kar
haasil-e-Gam ko KHudaa-raa Gam-e-haasil na banaa
Himayat Ali Shayar
Sher
mar.uub ho ga.e hai.n vilaayat se shaiKH-jii
ab sirf man.a karte hai.n desii sharaab ko
Akbar Allahabadi
Sher
maayuus dilo.n ko ab chhe.Do bhii to kyaa haasil
TuuTe hu.e paimaane fariyaad nahii.n karte
Figar Unnavi
Sher
ham ki maayuus nahii.n hai.n unhe.n paa hii le.nge
log kahte hai.n ki Dhuu.nDe se KHudaa miltaa hai
Arsh Siddiqui
Sher
log maa.nge ke ujaale se hai.n aise mar.uub
raushnii apne charaaGo.n kii burii lagtii hai
Aale Ahmad Suroor
Sher
Gam bik rahe the mele me.n KHushiyo.n ke naam par
maayuus ho ke lauTe hai.n har ik dukaa.n se ham