SEARCH RESULTS
Showing search results for "mahaarat"
Sher MATCHES FOR "mahaarat"
Sher
ye baat sach hai tumhe.n zulm me.n mahaarat hai
ye baat bhii to haqiiqat hai mai.n nahii.n Dartaa
Sher
yahii zindagii musiibat yahii zindagii musarrat
yahii zindagii haqiiqat yahii zindagii fasaana
Moin Ahsan Jazbi
Sher
zindagii kitnii masarrat se guzartii yaa rab
aish kii tarah agar Gam bhii gavaaraa hotaa
Akhtar Shirani
Sher
fikr-e-ma.aash maatam-e-dil aur KHayaal-e-yaar
tum sab se ma.azarat ki tabii.at udaas hai
Javed Iqbal
Sher
ab maa-hasal hayaat kaa bas ye hai ai 'salaam'
cigarette jalaa.ii sher kahe shaadmaa.n hu.e
Salam Machhli shahri
Sher
dil me.n jab se dekhtaa hai vo tirii tasviir ko
nuur barsaataa hai apnii chashm-e-tar se aaftaab
Maharaja Sir Kishan Parashad Shad
Sher
Hari Chand Akhtar
Sher
Bedam Shah Warsi
Sher
sun.ne me.n aa rahe hai.n masarrat ke vaaqi.aat
jamhuuriyat kaa husn numaayaa.n hai aaj-kal
Sheri Bhopali
Sher
chhoTe chhoTe ka.ii be-faiz mafaadaat ke saath
log zinda hai.n ajab suurat-e-haalaat ke saath
Aitbar Sajid
Sher
ek lamha bhii masarrat kaa bahut hotaa hai
log jiine kaa saliiqa hii kahaa.n rakhte hai.n
Syed Zameer Jafri
Sher
hamaarii ma.azarat ai Gam ki muskuraa rahe hai.n
ham apnaa haath tirii pusht se haTaa rahe hai.n
Azhar Faragh
Sher
ye intihaa-e-masarrat kaa shahr hai 'sarvat'
yahaa.n to har dar-o-diivaar ik samundar hai
Sarvat Husain
Sher
Pallav Mishra
Sher
Anjum Saleemi
Sher
tum aadatan kahoge use yaar ma.azarat
lekin ye e'tiraaf ke zumre me.n aa.egaa
Ehsanul Haq Mazhar
Sher
jahaa.n se kuchh na mile husn-e-maazarat ke sivaa
ye aarzuu usii chaukhaT pe shab guzaartii hai
Zafar Iqbal
Sher
bhes me.n masarrat ke Gam kahii.n na aayaa ho
is sabab se Dar Dar kar ham KHushii se milte hai.n