SEARCH RESULTS
Showing search results for "majaal"
Sher MATCHES FOR "majaal"
Sher
terii mahfil se uThaataa Gair mujh ko kyaa majaal
dekhtaa thaa mai.n ki tuu ne bhii ishaara kar diyaa
Hasrat Mohani
Sher
kyaa taab kyaa majaal hamaarii ki bosa le.n
lab ko tumhaare lab se milaa kar kahe baGair
Bahadur Shah Zafar
Sher
vahdat me.n terii harf du.ii kaa na aa sake
aa.iina kyaa majaal tujhe mu.nh dikhaa sake
Khwaja Meer Dard
Sher
majaal-e-tark-e-mohabbat na ek baar hu.ii
KHayaal-e-tark-e-mohabbat to baar baar kiyaa
Wahshat Raza Ali Kalkatvi
Sher
mai.n ba.Dhte ba.Dhte kisii roz tujh ko chhuu letaa
ki gin ke rakh diye tuu ne mirii majaal ke din
Abdul Ahad Saaz
Sher
tamaasha-gaah-e-jahaa.n me.n majaal-e-diid kise
yahii bahut hai agar sarsarii guzar jaa.e.n
Ahmad Mushtaq
Sher
Nazeer Akbarabadi
Sher
yuu.n be-hijaab hai.n ki hai.n jaise hijaab me.n
us bazm me.n kisii ko majaal-e-nazar kahaa.n
Makhfi Lakhnavi
Sher
Jaun Eliya
Sher
Parveen Shakir
Sher
Asrarul Haq Majaz
Sher
mujh ko ye aarzuu vo uThaa.e.n naqaab KHud
un ko ye intizaar taqaazaa kare ko.ii
Asrarul Haq Majaz
Sher
ishq kaa zauq-e-nazaara muft me.n badnaam hai
husn KHud be-taab hai jalva dikhaane ke liye
Asrarul Haq Majaz
Sher
ham ne kaa.nTo.n ko bhii narmii se chhu.aa hai aksar
log bedard hai.n phuulo.n ko masal dete hai.n
Bismil Saeedi
Sher
dafn kar saktaa huu.n siine me.n tumhaare raaz ko
aur tum chaaho to afsaana banaa saktaa huu.n mai.n