SEARCH RESULTS
Showing search results for "majaal"
Ghazal MATCHES FOR "majaal"
Ghazal
Hafeez Jalandhari
Ghazal
mai.n chaahtaa huu.n mohabbat miraa vo haal kare
ki KHvaab me.n bhii dobaara kabhii majaal na ho
Jawad Sheikh
Ghazal
sar-taa-qadam zabaan hai.n juu.n sham.a go ki ham
par ye kahaa.n majaal jo kuchh guftuguu kare.n
Khwaja Meer Dard
Ghazal
vahdat me.n terii harf du.ii kaa na aa sake
aa.iina kyaa majaal tujhe mu.nh dikhaa sake
Khwaja Meer Dard
Ghazal
vo aa ke KHvaab me.n taskiin-e-iztiraab to de
vale mujhe tapish-e-dil majaal-e-KHvaab to de
Mirza Ghalib
Ghazal
Majrooh Sultanpuri
Ghazal
terii mahfil se uThaataa Gair mujh ko kyaa majaal
dekhtaa thaa mai.n ki tuu ne bhii ishaara kar diyaa
Hasrat Mohani
Ghazal
na sakat hai zabt-e-Gam kii na majaal-e-ashk-baarii
ye ajiib kaifiyat hai na sukuu.n na be-qaraarii
Amir Usmani
Ghazal
majaal-e-arz-e-tamannaa kare ko.ii kaise
jo lafz ho.nTo.n pe aayaa Daraa Daraa saa lagaa
Iqbal Azeem
Ghazal
kyaa majaal un kii na de.n KHat kaa javaab
baat kuchh baa.is-e-taaKHiir to hai
Shakeel Badayuni
Ghazal
use hii saath gavaaraa na thaa miraa varna
kise majaal ko.ii us ko chhiintaa mujh se
Shahid Zaki
Ghazal
hame.n majaal nahii.n hai ki baam tak pahu.nche.n
unhe.n ye aar sar-e-rahguzaar kyaa utre.n
Ahmad Faraz
Ghazal
kise majaal kahe ko.ii mujh ko diivaana
agar ye tum ne kahaa hai to ko.ii baat nahii.n
Raaz Allahabadi
Ghazal
are ye sirf bahaana hai baat karne kaa
mirii majaal ki jhag.Daa karuu.n janaab ke saath
Rehman Faris
Ghazal
faqiih-e-shahr kii tahqiir kyaa majaal mirii
magar ye baat ki mai.n Dhuu.nDtaa huu.n dil kii kushaad
Allama Iqbal
Ghazal
shumaar meraa bhii karte hai.n log in me.n magar
mirii majaal kahaa.n shaa.iro.n me.n baiThne kii
aabid umar
Ghazal
chalaa to huu.n pa.e iz.haar-e-dard-e-dil dekhuu.n
huzuur-e-yaar majaal-e-bayaa.n rahe na rahe
Ameer Minai
Ghazal
Nazeer Akbarabadi
Ghazal
vo bevafaa hai hame.n ye malaal tho.Dii hai
hame.n bhii raat din us kaa KHayaal tho.Dii hai