SEARCH RESULTS
Showing search results for "manzil-e-mauhuum"
Sher MATCHES FOR "manzil-e-mauhuum"
Sher
ho gayaa mehmaa.n-saraa-e-kasrat-e-mauhuum aah
vo dil-e-KHaalii ki teraa KHaas KHalvat-KHaana thaa
Khwaja Meer Dard
Sher
ajab nahii.n ki ho diivaar nuqta-e-mauhuum
makaan ho ki makii.n do dilo.n kaa milnaa dekh
Syed Amin Ashraf
Sher
parda-e-hijr vahii hasti-e-mauhuum thii 'yaas'
sach hai pahle nahii.n maaluum thaa ye raaz mujhe
Yagana Changezi
Sher
mai.n jab pe.D se gir ke zamii.n kii KHaak hu.aa
tab ik aalam-e-mauhuum samajh me.n aayaa
Krishna Kumar Toor
Sher
Salik Lakhnavi
Sher
ye ham ko chho.D ke tanhaa kahaa.n chale 'vaamiq'
abhii to manzil-e-meraaj-e-daar baaqii hai
Wamiq Jaunpuri
Sher
mil hii jaa.egii kabhii manzil-e-maqsuud-e-sahar
shart ye hai ki safar karte raho shaam ke saath
Aziz Tamannai
Sher
Abdul Rahman Ehsan Dehlvi
Sher
bataa.e kaun kisii ko nishaan-e-manzil-e-ziist
abhii to hujjat-e-baaham hai rahguzar ke liye
Habeeb Ahmad Siddiqui
Sher
husuul-e-manzil-e-jaa.n kaa hunar nahii.n aayaa
vo raushnii thii ki kuchh bhii nazar nahii.n aayaa
Bakhsh Layalpuri
Sher
nishaan-e-manzil-e-jaanaa.n mile mile na mile
maze kii chiiz hai ye zauq-e-jushtujuu meraa
Wahshat Raza Ali Kalkatvi
Sher
gar shaiKH azm-e-manzil-e-haq hai to aa idhar
hai dil kii raah siidhii va ka.abe kii raah kaj
Gulam Yahya Huzur Azimabadi
Sher
jahaa.n me.n manzil-e-maqsuud Dhuu.nDne vaale
ye kaa.enaat kii tasviir hii KHayaalii hai
Shahzad Ahmad
Sher
milegaa manzil-e-maqsuud kaa usii ko suraaG
a.ndherii shab me.n hai chiite kii aa.nkh jis kaa charaaG