SEARCH RESULTS
Showing search results for "manzuum"
Sher MATCHES FOR "manzuum"
Sher
harf-o-bayaa.n, nazaare, sitaare, dil o nazar
har shai me.n intishaar hai, manzuum kuchh nahii.n
Ziyaul Hasan
Sher
jha.Dtii hai.n un ke mu.nh se jo manzuum gaaliyaa.n
sun sun ke vaah vaah kiye jaa rahaa huu.n mai.n
Haji Laq Laq
Sher
ham ko ma.aluum hai jannat kii haqiiqat lekin
dil ke KHush rakhne ko 'Gaalib' ye KHayaal achchhaa hai
Mirza Ghalib
Sher
mai.n akelaa hii chalaa thaa jaanib-e-manzil magar
log saath aate ga.e aur kaarvaa.n bantaa gayaa
Majrooh Sultanpuri
Sher
hu.aa hai tujh se bichha.Dne ke baa'd ye maa'luum
ki tuu nahii.n thaa tire saath ek duniyaa thii
Ahmad Faraz
Sher
kisii ko ghar se nikalte hii mil ga.ii manzil
ko.ii hamaarii tarah umr bhar safar me.n rahaa
Ahmad Faraz
Sher
nahii.n nigaah me.n manzil to justujuu hii sahii
nahii.n visaal mayassar to aarzuu hii sahii
Faiz Ahmad Faiz
Sher
uTho ye manzar-e-shab-taab dekhne ke liye
ki nii.nd shart nahii.n KHvaab dekhne ke liye
Irfan Siddiqi
Sher
vo na aa.egaa hame.n ma.aluum thaa is shaam bhii
intizaar us kaa magar kuchh soch kar karte rahe
Parveen Shakir
Sher
Nushur Wahidi
Sher
us ko ruKHsat to kiyaa thaa mujhe ma.aluum na thaa
saaraa ghar le gayaa ghar chho.D ke jaane vaalaa
Nida Fazli
Sher
uqaabii ruuh jab bedaar hotii hai javaano.n me.n
nazar aatii hai un ko apnii manzil aasmaano.n me.n
Allama Iqbal
Sher
Dhuu.nDtaa phirtaa huu.n mai.n 'iqbaal' apne aap ko
aap hii goyaa musaafir aap hii manzil huu.n mai.n
Allama Iqbal
Sher
Bashir Badr
Sher
dosto.n ko bhii mile dard kii daulat yaa rab
meraa apnaa hii bhalaa ho mujhe manzuur nahii.n
Hafeez Jalandhari
Sher
Sahir Ludhianvi
Sher
chal saath ki hasrat dil-e-marhuum se nikle
aashiq kaa janaaza hai zaraa dhuum se nikle