SEARCH RESULTS
Showing search results for "mardo"
Sher MATCHES FOR "mardo"
Sher
shaayad usii kaa zikr ho yaaro mai.n is liye
suntaa huu.n gosh-e-dil se har ik mard-o-zan kii baat
Jurat Qalandar Bakhsh
Sher
log kahte hai.n badaltaa hai zamaana sab ko
mard vo hai.n jo zamaane ko badal dete hai.n
Akbar Allahabadi
Sher
Sahir Ludhianvi
Sher
pyaaso raho na dasht me.n baarish ke muntazir
maaro zamii.n pe paa.nv ki paanii nikal pa.De
Iqbal Sajid
Sher
Allama Iqbal
Sher
naaz kyaa is pe jo badlaa hai zamaane ne tumhe.n
mard hai.n vo jo zamaane ko badal dete hai.n
Akbar Allahabadi
Sher
tamaam paikar-e-badsuurtii hai mard kii zaat
mujhe yaqii.n hai KHudaa mard ho nahii.n saktaa
Farhat Ehsas
Sher
aurat ko samajhtaa thaa jo mardo.n kaa khilaunaa
us shaKHs ko daamaad bhii vaisaa hii milaa hai
Tanveer Sipra
Sher
aurte.n kaam pe niklii thii.n badan ghar rakh kar
jism KHaalii jo nazar aa.e to mard aa baiThe
Farhat Ehsas
Sher
phuul kii pattii se kaT saktaa hai hiire kaa jigar
mard-e-naadaa.n par kalaam-e-narm-o-naazuk be-asar
Allama Iqbal
Sher
hayaat aaj bhii kaniiz hai huzuur-e-jabr me.n
jo zindagii ko jiit le vo zindagii kaa mard hai
Bashir Badr
Sher
ye laash-e-be-kafan 'asad'-e-KHasta-jaa.n kii hai
haq maGfirat kare ajab aazaad mard thaa
Mirza Ghalib
Sher
Ehtisham ul Haq Siddiqui
Sher
piir-e-muGaa.n ke paas vo daaruu hai jis se 'zauq'
naamard mard mard-e-javaa.n-mard ho gayaa