SEARCH RESULTS
Showing search results for "maro"
Sher MATCHES FOR "maro"
Sher
pyaaso raho na dasht me.n baarish ke muntazir
maaro zamii.n pe paa.nv ki paanii nikal pa.De
Iqbal Sajid
Sher
jilaa.o maaro durkaaro bulaa lo gaaliyaa.n de lo
karo jo chaaho ham kis baat se ikraah rakhte hai.n
Mirza Azfari
Sher
Aziz Hamid Madni
Sher
tishnigaan-e-zauq is sahraa-e-hastii se alag
paa.nv maaro to ubaltaa hai samundar saamne
Maslihuddin Ahmad Aseer Kakorvi
Sher
Nadim Nadeem
Sher
is saadgii pe kaun na mar jaa.e ai KHudaa
la.Dte hai.n aur haath me.n talvaar bhii nahii.n
Mirza Ghalib
Sher
kitnii dilkash ho tum kitnaa dil-juu huu.n mai.n
kyaa sitam hai ki ham log mar jaa.e.nge
Jaun Eliya
Sher
Jaun Eliya
Sher
tum mujhe chho.D ke jaa.oge to mar jaa.uu.ngaa
yuu.n karo jaane se pahle mujhe paagal kar do
Bashir Badr
Sher
KHvaab kii tarah bikhar jaane ko jii chaahtaa hai
aisii tanhaa.ii ki mar jaane ko jii chaahtaa hai
Iftikhar Arif
Sher
shaam tak sub.h kii nazro.n se utar jaate hai.n
itne samjhauto.n pe jiite hai.n ki mar jaate hai.n
Waseem Barelvi
Sher
ye mohabbat kii kahaanii nahii.n martii lekin
log kirdaar nibhaate hu.e mar jaate hai.n
Abbas Tabish
Sher
log kahte hai.n badaltaa hai zamaana sab ko
mard vo hai.n jo zamaane ko badal dete hai.n
Akbar Allahabadi
Sher
Akbar Allahabadi
Sher
vo din ga.e ki mohabbat thii jaan kii baazii
kisii se ab ko.ii bichh.De to mar nahii.n jaataa