SEARCH RESULTS
Showing search results for "marzi-e-aGyaar"
Sher MATCHES FOR "marzi-e-aGyaar"
Sher
gunjaa.ish-e-adaavat-e-aGyaar yak taraf
yaa.n dil me.n zof se havas-e-yaar bhii nahii.n
Mirza Ghalib
Sher
bazm-e-aGyaar me.n us ne mujhe daryaaft kiyaa
ba.ad muddat ke use yaad mirii aa.ii hai
Mohammad Wilayatullah
Sher
raaz-e-nihaa.n zabaan-e-aGyaar tak na pahu.nchaa
kyaa ek bhii hamaaraa KHat yaar tak na pahu.nchaa
Momin Khan Momin
Sher
zo.af me.n ta.ana-e-aGyaar kaa shikva kyaa hai
baat kuchh sar to nahii.n hai ki uThaa bhii na sakuu.n
Mirza Ghalib
Sher
jab se kuchh qaabuu hai apnaa kaakul-e-KHamdaar par
saa.np har dam loTtaa hai siina-e-aGyaar par
Haqeer
Sher
ilaaj-e-'aKHtar'-e-naa-kaam kyuu.n nahii.n mumkin
agar vo jii nahii.n saktaa to mar to saktaa hai
Akhtar Ansari
Sher
aa.e agar qayaamat to dhajjiyaa.n u.Daa de.n
phirte hai.n justujuu me.n fitne tirii galii ke
Rasa Rampuri
Sher
Asghar Gondvi
Sher
jab se mu.nh ko lag ga.ii 'aKHtar' mohabbat kii sharaab
be-piye aaTho.n pahar madhosh rahnaa aa gayaa
Akhtar Ansari
Sher
maa.il-e-sher-o-Gazal phir hai tabii.at 'asGar'
abhii kuchh aur muqaddar me.n hai rusvaa honaa
Asghar Gondvi
Sher
Akhtar Shirani
Sher
vo agar aa na sake maut hii aa.ii hotii
hijr me.n ko.ii to Gam-KHvaar hamaaraa hotaa
Akhtar Shirani
Sher
chhuT jaa.e agar daaman-e-kaunain to kyaa Gam
lekin na chhuTe haath se daamaan-e-mohammad
Asghar Gondvi
Sher
'asGar' Gazal me.n chaahiye vo mauj-e-zindagii
jo husn hai buto.n me.n jo mastii sharaab me.n