SEARCH RESULTS
Showing search results for "masarrato.n"
Sher MATCHES FOR "masarrato.n"
Sher
sila diyaa hai mohabbat kaa tum ne ye kaisaa
masarrato.n me.n bhii rone lagii hai.n ab aa.nkhe.n
Indira Varma
Sher
masarrato.n ne to chaahaa thaa dil me.n aa jaa.e.n
hujuum-e-Gam ne magar un ko raasta na diyaa
Mushir Jhanjhanvi
Sher
zahe-nasiib ki duniyaa ne tere Gam ne mujhe
masarrato.n kaa talabgaar kar ke chho.D diyaa
Shakeel Badayuni
Sher
masarrato.n ke bahut aas-paas bhii na rahe
KHudaa kaa shukr magar ham udaas bhii na rahe
Moid Rahbar Lakhnavi
Sher
yahii zindagii musiibat yahii zindagii musarrat
yahii zindagii haqiiqat yahii zindagii fasaana
Moin Ahsan Jazbi
Sher
zindagii kitnii masarrat se guzartii yaa rab
aish kii tarah agar Gam bhii gavaaraa hotaa
Akhtar Shirani
Sher
Faiz Ahmad Faiz
Sher
malaamato.n se junuu.n me.n na kuchh kamii aa.ii
jaraahato.n se ba.Dhii zaKHm-e-dil kii ra.anaa.ii
Payam Fatehpuri
Sher
Hari Chand Akhtar
Sher
Bedam Shah Warsi
Sher
Sarfaraz Khalid
Sher
sun.ne me.n aa rahe hai.n masarrat ke vaaqi.aat
jamhuuriyat kaa husn numaayaa.n hai aaj-kal
Sheri Bhopali
Sher
ek lamha bhii masarrat kaa bahut hotaa hai
log jiine kaa saliiqa hii kahaa.n rakhte hai.n
Syed Zameer Jafri
Sher
ye intihaa-e-masarrat kaa shahr hai 'sarvat'
yahaa.n to har dar-o-diivaar ik samundar hai
Sarvat Husain
Sher
bhes me.n masarrat ke Gam kahii.n na aayaa ho
is sabab se Dar Dar kar ham KHushii se milte hai.n
JaiKrishn Chaudhry Habeeb
Sher
dono.n haatho.n se masarrat ko luTaayaa hai 'habiib'
Gam kii daulat to magar tum se luTaa.ii na ga.ii