SEARCH RESULTS
Showing search results for "maslahatan"
Sher MATCHES FOR "maslahatan"
Sher
ik tujh ko dekhne ke liye bazm me.n mujhe
auro.n kii samt maslahatan dekhnaa pa.Daa
Fana Nizami Kanpuri
Sher
jhuuT-muuT un se mai.n kuchh maslahatan boluu.ngaa
sach hai tuu bol na uThiyo dil-e-aagaah ki jhuuT
Meer Hasan
Sher
charaaG ghar kaa ho mahfil kaa ho ki mandir kaa
havaa ke paas ko.ii maslahat nahii.n hotii
Waseem Barelvi
Sher
Aale Ahmad Suroor
Sher
guzishta saal ko.ii maslahat rahii hogii
guzishta saal ke sukh ab ke saal de maulaa
Liyaqat Ali Aasim
Sher
maslahat-aamez hote hai.n siyaasat ke qadam
tuu na samjhegaa siyaasat tuu abhii naadaan hai
Dushyant Kumar
Sher
kyaa maslahat-shanaas thaa vo aadmii 'qatiil'
majbuuriyo.n kaa jis ne vafaa naam rakh diyaa
Qateel Shifai
Sher
sab dost maslahat ke dukaano.n me.n bik ga.e
dushman to pur-KHuluus adaavat me.n ab bhii hai
Baqi Ahmad Puri
Sher
haqiiqii chehra kahii.n par hame.n nahii.n miltaa
sabhii ne chehre pe Daale hai.n maslahat ke naqaab
Marghoob Ali
Sher
abhii se hosh u.De maslahat-parasto.n ke
abhii mai.n bazm me.n aayaa abhii kahaa.n bolaa
Hafeez Merathi
Sher
ko.ii masruufiyat hogii vagarna maslahat hogii
na is paimaa.n-faraamoshii se us ko bevafaa kahnaa
Sabiha Saba
Sher
tum maslahat kaho yaa munaafiq kaho mujhe
dil me.n magar Gubaar bahut der tak rahaa
KHalid Malik Sahil
Sher
Pallav Mishra
Sher
Muztar Khairabadi
Sher
merii fikr kii KHushbuu qaid ho nahii.n saktii
yuu.n to mere ho.nTo.n par maslahat kaa taalaa hai
Salam Machhli shahri
Sher
jab maslahat-e-vaqt se gardan ko jhukaa kar
vo baat kare hai to ko.ii tiir lage hai