SEARCH RESULTS
Showing search results for "maslahatan"
Ghazal MATCHES FOR "maslahatan"
Ghazal
zaraa bhii daKHl nahii.n is me.n in havaa.o.n kaa
hame.n to maslahatan apnii KHaak u.Daanii hai
Abhishek Shukla
Ghazal
chup-chaap sahii maslahatan vaqt ke haatho.n
majbuur sahii vaqt se haaraa to nahii.n huu.n
Aaftab Muztar
Ghazal
kabhii bhii ham ne na kii ko.ii baat maslahatan
munaafiqat kii himaayat, nahii.n, kabhii nahii.n kii
Irfan Sattar
Ghazal
sabr ho saktaa hai kab ham se vale maslahatan
aazmaa.ish dil-e-betaab kii kar dekhe.n to
Hasrat Azimabadi
Ghazal
o.Dh letaa hai yaqii.n maslahatan chup kaa lihaaf
is gha.Dii sach kii har ik baat gumaa.n boltaa hai
Rahman Jami
Ghazal
chhupaa thaa maslahatan shaam se sameT ke nuur
muhiib raat ye samjhii ki Dar gayaa suuraj
Husain Taj Rizvi
Ghazal
jhuuT-muuT un se mai.n kuchh maslahatan boluu.ngaa
sach hai tuu bol na uThiyo dil-e-aagaah ki jhuuT
Meer Hasan
Ghazal
sau baar ik galii me.n mujhe le gayaa ye vahm
khi.Dkii se ko.ii maslahatan jhaa.nktaa na ho
Abdul Hafiz Naeemi
Ghazal
yahaa.n to maslahatan jhuuT ko bhii sach kahiye
ham aisii maslahat-e-naaravaa se baaz aa.e
Asar Ansari
Ghazal
uThaayaa maslahatan ham ne KHuun kaa da.avaa
kisii kii aa.nkh sar-e-hashr niichii kyaa karte
Mahir Bilgrami
Ghazal
ye kaam mire bas me.n nahii.n maslahatan bhii
mujh se kabhii baatil kii vakaalat nahii.n hotii
Ameer Hamza Aazmi
Ghazal
hazar kii aaKHirii had kaa azaab honaa pa.Daa
hame.n bhii maslahatan baazyaab honaa pa.Daa
Sara Khan
Ghazal
ab maslahatan hii hu.aa paidaa ko.ii muusaa
ab maslahatan koh ko.ii tuur hu.aa hai
Navin Joshi
Ghazal
yaa to suqraat hai ab maslahatan muhr-ba-lab
log hii mar ga.e yaa zahr pilaane vaale
Shaukat Wasti
Ghazal
dast-e-KHirad ne maslahatan chaak bhii kiyaa
sii bhii liyaa junuu.n ne garebaa.n kabhii kabhii
Iqbal Abidi
Ghazal
hayaat-e-ishq me.n vo manzile.n bhii aatii hai.n
jahaa.n pe maslahatan muskuraayaa jaataa hai
Nihal Rizvi Lucknowi
Ghazal
aisaa nahii.n ke maslahatan chup rahe sabhii
kuchh haq-parast log shahryaar tak ga.e