SEARCH RESULTS
Showing search results for "mausam-e-qafas"
Sher MATCHES FOR "mausam-e-qafas"
Sher
qafas se duur sahii mausam-e-bahaar to hai
asiiro aa.o zaraa zikr-e-aashiyaa.n ho jaa.e
Siraj Lakhnavi
Sher
tuu chho.D ab to asiir-e-qafas ko ai sayyaad
kalii chaTakne lagii mausam-e-gulaab aayaa
Mushafi Ghulam Hamdani
Sher
muzhda ai yaas ki yaa.n kunj-e-qafas ke qaidii
yak-ba-yak mausam-e-parvaaz me.n mar jaate hai.n
Mushafi Ghulam Hamdani
Sher
mausam-e-baaraan-e-furqat me.n rulaane ke liye
mor din ko bol uThtaa hai papiihaa raat ko
Lala Madhav Ram Jauhar
Sher
dekh kar kaalii ghaTaa ahl-e-qafas
aur kyaa karte ta.Dap kar rah ga.e
Syed Basit Hussain Mahir Lakhnavi
Sher
kahiyo sabaa salaam hamaaraa bahaar se
ham to chaman ko chho.D ke suu-e-qafas chale
Mohammad Rafi Sauda
Sher
muddate.n qaid me.n guzrii.n magar ab tak sayyaad
ham asiiraan-e-qafas taaza giraftaar se hai.n
Firaq Gorakhpuri
Sher
sayyaad aur qaid-e-qafas se kare rahaa
jhuuTii KHabar kisii kii u.Daa.ii hu.ii sii hai
Qurban Ali Salik Beg
Sher
kaisaa chaman ki ham se asiiro.n ko man.a hai
chaak-e-qafas se baaG kii diivaar dekhnaa
Meer Taqi Meer
Sher
aisaa gulshan kii siyaasat ne kiyaa hai paaband
ham asiiraan-e-qafas aah bhii karne ke nahii.n
Zafar Ahmad Siddiqi
Sher
KHudaa gavaah ki dono.n hai.n dushman-e-parvaaz
Gam-e-qafas ho ki raahat ho aashiyaane kii
Gopal Mittal
Sher
sab ham-safiir chho.D ke tanhaa chale ga.e
kunj-e-qafas me.n mujh ko giraftaar dekh kar
Mirza Mohammad Taqi Hawas
Sher
Rind Lakhnavi
Sher
har aise-vaise se qufl-e-qafas nahii.n khultaa
is imtihaa.n ke liye kuchh haqiir hote hai.n
Ain Tabish
Sher
daam-o-qafas na chaahiye dil ke shikaar kuu.n
kartii hai.n band aa.nkh ke Doro.n kii Doriyaa.n
Siraj Aurangabadi
Sher
na jaane us ne khule aasmaa.n me.n kyaa dekhaa
parinda phir se jahaan-e-qafas me.n lauT aayaa