SEARCH RESULTS
Showing search results for "miir-mirzaa"
Sher MATCHES FOR "miir-mirzaa"
Sher
dard kartaa hai tap-e-ishq kii shiddat se miraa
sar judaa siina judaa qalb judaa shaana judaa
Meer Hasan
Sher
Meer Hasan
Sher
kalaam-e-miir samjhe aur zabaan-e-miirzaa samjhe
magar un kaa kahaa ye aap samjhe.n yaa KHudaa samjhe
Aish Dehlvi
Sher
aashiq huu.n pa maashuuq-farebii hai miraa kaam
majnuu.n ko buraa kahtii hai lailaa mire aage
Mirza Ghalib
Sher
thaa zindagii me.n marg kaa khaTkaa lagaa hu.aa
u.Dne se pesh-tar bhii miraa rang zard thaa
Mirza Ghalib
Sher
aur baazaar se le aa.e agar TuuT gayaa
saaGar-e-jam se miraa jaam-e-sifaal achchhaa hai
Mirza Ghalib
Sher
reKHte ke tumhii.n ustaad nahii.n ho 'Gaalib'
kahte hai.n agle zamaane me.n ko.ii 'miir' bhii thaa
Mirza Ghalib
Sher
laazim thaa ki dekho miraa rastaa ko.ii din aur
tanhaa ga.e kyuu.n ab raho tanhaa ko.ii din aur
Mirza Ghalib
Sher
jab 'miir' o 'miirzaa' ke suKHan raa.egaa.n ga.e
ik be-hunar kii baat na samjhii ga.ii to kyaa
Iftikhar Arif
Sher
Mirza Ghalib
Sher
Unknown
Sher
laayaa hai miraa shauq mujhe parde se baahar
mai.n varna vahii KHalvatii-e-raaz-e-nihaa.n huu.n
Meer Taqi Meer
Sher
Mirza Mohammad Hadi Aziz Lakhnavi
Sher
'Gaalib' apnaa ye aqiida hai ba-qaul-e-'naasiKH'
aap be-bahra hai jo mo'taqid-e-'miir' nahii.n
Mirza Ghalib
Sher
puuchhaa agar kisii ne miraa aa ke haal-e-dil
be-iKHtiyaar aah labo.n se nikal ga.ii
Mirza Raza Barq
Sher
reKHta-go.ii kii buniyaad 'valii' ne Daalii
ba.ad-azaa.n KHalq ko 'mirzaa' se hai aur 'miir' se faiz